Hamd hai us zaat ko jis ne musalman kardiya Ishq-e-Sultan-e-Jahan seena mein pinhaan kardiya
Jalwa-e-zaiba ne aaine ko hairan kardiya Mehr-o-mah ko un ke talwon ne pashemaan kardiya
Ae Shah-e-Lau-laak teri aafreenish ke liye Haq ne lafz-e-kun se paida saaz-o-samaan kardiya
Kya kashish thi Sarwar-e-Aalam ke husn-e-paak mein Saikron kuffar ko dam mein musalman kardiya
Hogayi kafoor zulmat dil munawwar hogaye Jis taraf bhi us ne apna ru-e-taabaan kardiya
Niamat-e-konain de kar un ke dast-e-paak mein Dono aalam ko Khuda ne un ka mehman kardiya
Yaad farma kar qasam Haq ne zameen-e-paak ki Khaak-e-na'l-e-Mustafa ko taaj-e-shahaan kardiya
Door hi se sabz gumbad ki jhalak ko dekh kar Aashiqon ne tukre tukre jaib-o-damaan kardiya
Us Arab ke chaand ka jalwa mujhe darkaar hai Jis ne har zarre ko apne maah-e-taabaan kardiya
Saikron murda dilon ko noor-e-imaan baksh kar Zinda-e-jaweed ae Isa-e-dauraan kardiya
Girya-o-zaari ne raaton ko teri abr-e-karam Misl-e-gul subh-e-qayamat hum ko khandaan kardiya
Ya RasoolAllah aghisni waqt hai imdaad ka Nafs-e-kaafir ne mujhe be-had pareshan kardiya
Teri nusrat aise naazuk waqt mein haami rahe Najdiyon ne ya Nabi laakhon ko shaitan kardiya
Hai Jameel Qadri par fazl-e-Allah-o-Rasool Tera murshid Hazrat-e-Ahmad Raza Khan kardiya





