Hai dil ko teri justuju Ghous-e-Azam Zabaan par teri guftagu Ghous-e-Azam
Tera zikr gulshan mein bulbul ke lab par Gulon mein tera rang-o-bu Ghous-e-Azam
Nazar mein koi khubru kya samaye Basa meri aankhon mein tu Ghous-e-Azam
Hain suraj agar Mustafa chand hai tu Hain jalwe tere char su Ghous-e-Azam
Laga zakhm tegh-e-ma'asi ka dil par Tu rehmat se karde rafu Ghous-e-Azam
Madad kar main hoon na-tawan aur tanha Hain a'da bahut jangju Ghous-e-Azam
Qawi kar qawi mujhko de aisi quwwat Ke ho sar-nigoon har adu Ghous-e-Azam
Amal puche jate hain mujhse lahad mein Tere haath hai aabru Ghous-e-Azam
Tufail-e-Husain-o-Hasan laaj rakh le Tere haath hai aabru Ghous-e-Azam
Hisab-o-kitab aur mera haath khaali Tu aa ja mere rubaru Ghous-e-Azam
Na mujh sa koi teera-dil pur-ma'asi Na tujh sa koi mah-ru Ghous-e-Azam
Nakirain ab mujhse jo chaho pucho Ke aaye mere rubaru Ghous-e-Azam
Khuda jaane kya haal hota hamara Na hota agar sar pe tu Ghous-e-Azam
Bacha le ghulamon ko bahr-e-Payambar Chali kufr-o-bid'at ki lau Ghous-e-Azam
Khuda ki qasam mere dil mein bhari hai Teri deed ki aarzu Ghous-e-Azam
Milein ab to Baghdad ki mujhko galiyan Main kab tak phirun ku-ba-ku Ghous-e-Azam
Jameel apne murshid ke qurban jaaun Ke woh gul hain aur un mein bu Ghous-e-Azam





