Habib-e-Khuda Arsh par jaane waale Woh ik aan mein ja ke phir aane waale
Khuda ko in aankhon se dekh aane waale Woh tafseel se sair farmaane waale
Woh Aqsa mein mairaj ki shab pahunch kar Imamat nabiyon ki farmaane waale
Woh ummi hain aise ki fazl-e-Khuda se Hain ilm-e-mughibat sikhlane waale
Unhein ki hai aalam mein naafiz hukumat Yahi hain darakhton ke bulwane waale
Ishare se un ke qamar ke huye do Yeh hain dam mein suraj ko lautane waale
Unhein ka laqab hai shafee-e-ghulaman Yeh hain ahl-e-isyan ke bakhshane waale
Raha un ke maathe shafa'at ka sehra Yahi hain gunahon ke bakhshane waale
Yahi toh hain har qism ki naimaton ke Zamaane mein taqseem farmaane waale
Na kyonkar ghani dil hon un ke ki jo hain Hazoor-e-Nabi haath phailane waale
Jo chaho woh maango jo maango woh paao Nahin hain yeh inkar farmaane waale
Tamanna kuja saltanat chhodte hain Tere dar pe jholi ko phailane waale
Na kyon chamkein kaunain mein badr ho kar Tere naam-e-aqdas pe mit jaane waale
Pahunchte hain maqsood ko apni jaldi Qadam rah-e-Maula mein daudane waale
Ajal sar pe hai tez chal su-e-Taibah Madine ke raste mein sustane waale
Karein aake nazara-e-sabz gumbad Jo ooncha falak ko hai batlane waale
Hamare hi hain muntazir hoor-o-ghilman Hain pehle hamein khuld mein jaane waale
Hamein naaz hai dasht-e-Taibah pe Zahid Jo hain aap jannat pe itrane waale
Gul-e-khuld se badloon mein khar-e-Taibah Are wah shabash lalchane waale
Main mujrim sahi par Nabi ke karam se Na rokenge mujh ko kahin thaane waale
Hai saya-fagan sar pe parcham Nabi ka Nahin mehr-e-mahshar se ghabrane waale
Munadi kahe ga na ghabrayein mujrim Ab aate hain ummat ke bakhshane waale
Gunahgar kya balki hain ambiya bhi Teri zaat par fakhr farmaane waale
Jaga de Khudara mera bakht-e-khufta Ghulamon ki qismat ko chamkane waale
Jo aalam ko karte hain roshan mah-o-khor Woh hain tere zarron se sharmane waale
Idhar bhi koi boond gesu ka sadqa Mere abr-e-rehmat ke barsane waale
Jo achhon ki qismat mein hai jaam tera Badon ko bhi ik boond maikhane waale
Hai jin ka wazifa Aghithni Habibi Yeh hain un ki imdad farmaane waale
Jo duniya mein hain munkir-e-istiaanat Woh honge qayamat mein pachhtane waale
Adab dil se laazim hai aye ahl-e-mehfil Habib-e-Khuda hain yahan aane waale
Jalein aur tauseef-e-sarkar sun kar Jahannam ki aatish mein jal jaane waale
Sunata hai Quran Mootu ka muzhda Jalein ghaiz mein apne jal jaane waale
Bane ga tu beshak jahannam ka kunda Are naib-e-Haq se phir jaane waale
Jo kehte hain un ko na tha ilm bilkul Woh beshubha dozakh mein hain jaane waale
Dua hai ki ahbab mein ho yeh charcha Jameel ab Madine ko hain jaane waale
Wahin par rahon aur wahin jaan nikle Madine ke hon log dafnane waale





