Ghatayen gham ki chhaen dil pareshan ya Rasool Allah ﷺ Tumhi ho mere dard-dukh ka darmaan ya Rasool Allah ﷺ Naseem-e-Tayba se keh do dil muzzattar ko jhonka de Bane shaam-e-Alam subh bahaaran ya Rasool Allah ﷺ Manazir be-wafa dunya ke hon sab door nazron se Tasawwur mein rahein Tayyiba ki galiyan ya Rasool Allah ﷺ Na mujh ko azma dunya ka maal-o-zar ata karke Ata kar apna gham aur chashm-e-griyan ya Rasool Allah ﷺ Tere didaar ka talib lagaaye aas baitha hoon Khudara ab dikha do roye taaban ya Rasool Allah ﷺ Mera seena Madinah ho Madinah mera seena ho Rahe seene mein tera dard panhaan ya Rasool Allah ﷺ Mujhe hareelay gunbad ke tale qadamon mein maut aaye Salamat le ke jaoon deen o imaan ya Rasool Allah ﷺ Nahin husn-e-amal koi mere amaal naamay mein Teri rehmat meri bakhshish ka saamaan ya Rasool Allah ﷺ Padosi Khuld mein Attar ko apna bana lijiye Jahan hain itne ahsaan aur ahsaan ya Rasool Allah ﷺ





