Fikr-e-asfal hai meri martaba-e-aala tera Wasf kya khaak likhe khaak ka putla tera
Toor par hi nahi mauqoof ujala tera Kaun se ghar mein nahi jalwa-e-zaiba tera
Har jagah zikr hai ai Wahid-o-Yakta tera Kaun si bazm mein roshan nahi ikka tera
Phir numayan jo sar-e-Toor ho jalwa tera Aag lene ko chale aashiq-e-shaida tera
Kheera karta hai nigahon ko ujala tera Kijiye kaun si aankhon se nazara tera
Jalwa-e-yaar nirala hai yeh parda tera Ke gale mil ke bhi khulta nahi milna tera
Kya khabar hai ke al-arshe ke maani kya hain Ke hai aashiq ki tarah arsh bhi joya tera
Arini go-e-sar-e-Toor se poochay koi Kis tarah ghash mein girata hai tajalli tera
Paar utarta hai koi gharq koi hota hai Kahin payab kahin josh mein darya tera
Bagh mein phool hua sham-e-bana mehfil mein Josh-e-nairang dar-aaghosh hai jalwa tera
Naye andaaz ki khalwat hai yeh ai parda-nasheen Aankhein mushtaq rahein dil mein ho jalwa tera
Shah-nasheen tootay huye dil ko banaya usne Aah ai deedah-e-mushtaq yeh likha tera
Saat pardon mein nazar aur nazar mein aalam Kuch samajh mein nahi aata yeh muamma tera
Toor ka dher hua ghash mein paray hain Moosa Kyun na ho yaar ke jalwa hai yeh jalwa tera
Chaar azdad ki kis tarah girah bandhi hai Naakhun-e-aql se khulta nahi uqda tera
Dasht-e-Aiman mein mujhe khaak nazar aaye ga Mujh mein ho kar nazar aata nahi jalwa tera
Har sahar naghma-e-murghan-e-nawasanj ka shor Goonjta hai tere ausaaf se sehra tera
Wehshi-e-ishq se khulta hai tu ai parda-e-raaz Kuch na kuch chaak-e-gareban se hai rishta tera
Sach hai insaan ko kuch kho ke mila karta hai Aap ko kho ke tujhe paye ga joya tera
Hain tere naam se aabadi-o-sehra aabad Shehr mein zikr tera dasht mein charcha tera
Barq-e-deedar hi ne toh yeh qayamat tori Sab se hai aur kisi se nahi parda tera
Aamad-e-hashr se ik eid hai mushtaqon ko Isi parda mein toh hai jalwa-e-zaiba tera
Saaray aalam ko toh mushtaq-e-tajalli paya Poochne jaiye ab kis se thikana tera
Toor par jalwa dikhaya hai tamannai ko Kaun kehta hai ke apnon se hai parda tera
Kaam deti hain yahan dekhiye kis ki aankhein Dekhne ko toh hai mushtaq zamana tera
Maikada mein hai tarana toh azaan masjid mein Wasf hota hai naye rang se har ja tera
Chaak ho jayen ge dil jaib-o-gareban kis ke De na chupne ki jagah raaz ko parda tera
Be-nawa muflis-o-mohtaj-o-gada kaun ke main Sahib-e-jood-o-karam wasf hai kiska tera
Aafreen ahl-e-mohabbat ke dilon ko ai dost Ek kooze mein liye baithe hain darya tera
Itni nisbat bhi mujhe donon jahan mein bas hai Tu mera maalik-o-maula hai main banda tera
Ungliyan kaanon mein de de ke suna karte hain Khalwat-e-dil mein ajab shor hai barpa tera
Ab jamata hai Hasan us ki gali mein bistar Khoobruyon ka jo mehboob hai pyara tera





