Eid-e Milaad an Nabi ﷺ hai dil bara masroor hai Eid-e Deewano ki to barah Rabi' al-Noor hai Is taraf jo noor hai to is taraf bhi noor hai Zarrah zarra sab jahan ka noor se ma'moor hai Har mulk hai shadmaan khush aaj har-ek hoor hai Haan magar Shaytaan ma'a Rufaqa bara ranjar hai Aamad-e Sarkar ﷺ se zulmat hui kafoor hai Kya zameen kya aasmaan har samt chhaya noor hai Jashn-e Milaad an Nabi ﷺ hai kyoon na jhoomen aaj hum Muskurati hain bahaarain sab faza pur noor hai Gham ke badal chhut gaye gham ka maara jhoom uthe Aagaya khushiyan lay mah-e-Rabi' al-Noor hai Aminah tujh ko mubarak Shah ﷺ ki Milaad ho Tera aangan noor, balki ghar ka ghar sab noor hai Aaj deewane Madinay ke sabhi hain shadmaan Meethay Aaqa ki Milaad se har ek masroor hai Bakhsh de mujh ko Ilahi, behar-e Milaad an Nabi ﷺ Nama't-e Aamaal Asiyaan se mera bharpur hai Gumbad-e Khizriya ka us ko bhi tawab didaar ho Ya Ilahi jo Madinah se abhi tak door hai Shan kya pyaare amāme ki bayaan ho Ya Nabi ﷺ Teri Naal-e-Paak ka har zarra, rashk-e Tur hai Haye sad afsoos! Fashion ki nuhasat chha gayi Aah! Ummat aap ki ab sunton se door hai Woh palaaye Ahl-e-Mahshar dekhte hi bol uthain Aagaya Attar dekho ishq mein makhmur hai





