Dushman hai gale ka haar Aaqa Lutti hai meri bahaar Aaqa
Tum dil ke liye qaraar Aaqa Tum raahat-e-jaan-e-zaar Aaqa
Tum arsh ke taajdaar Maula Tum farsh ke ba-waqaar Aaqa
Daman daman hawa-e-daman Gulshan gulshan bahaar Aaqa
Bande hain gunehgaar bande Aaqa hai karam-shiaar Aaqa
Is shaan ke hum ne kya kisi ne Dekhe nahin zeenhaar Aaqa
Bandon ka alam ne dil dikhaya Aur ho gaye be-qaraar Aaqa
Aaram se soyen hum kamine Jaga karen ba-waqaar Aaqa
Aisa toh kahin suna na dekha Bandon ka uthayein baar Aaqa
Jin ki koi baat tak na puche Un par tumhein aaye pyaar Aaqa
Pakeeza dilon ki zeenat-e-imaan Imaan ke tum singaar Aaqa
Sadqa jo bate kahin salateen Hum bhi hain ummeed-waar Aaqa
Chakra gayi nau be-kason ki Aana mere gham-gusaar Aaqa
Allah ne tum ko de diya hai Har cheez ka ikhtiyar Aaqa
Hai khaak pe naqsh-e-pa tumhara Aaina-e-be-ghubaar Aaqa
Aalam mein hain sab bani ke saathi Bigri ke tumhein ho yaar Aaqa
Sarkar ke taajdaar bande Sarkar hain taajdaar Aaqa
De bheek agar jamal-e-rangeen Jannat ho mera mazaar Aaqa
Aankhon ke khandar bhi ab basa do Dil ka toh hua waqaar Aaqa
Imaan ki taak mein hai dushman Aao dam-e-ihtizaar Aaqa
Ho shama-e-shab-e-siyah bakhtan Tera rukh-e-noor baar Aaqa
Tu rahmat-e-be-hisab ko dekh Jurmon ka na le shumaar Aaqa
Deedaar ki bheek kab bate gi Mangta hai ummeed-waar Aaqa
Bandon ki hansi khushi mein guzre Is gham mein hoon ashk-baar Aaqa
Aati hai madad bala se pehle karte nahin intezar Aaqa Saya mein tumhare donon aalam
Tum saya-e-kardgaar Aaqa Jab fauj-e-alam kare charhai
Ho auj-e-karam hisaar Aaqa Har milk-e-Khuda ke sacche maalik
Har mulk ke shahryaar Aaqa Maana ke main hoon zaleel banda
Aaqa tu hai ba-waqaar Aaqa Tute hue dil ko do sahara
Ab gham ki nahin sahar Aaqa Milti hai tumhein se daad dil ki
Sunte ho tumhein pukaar Aaqa Teri azmat woh hai ke tera
Allah kare waqaar Aaqa Allah ke lakhon karkhane
Sab ka tumhein ikhtiyar Aaqa Kya baat tumhare naqsh-e-pa ki
Hai taaj-e-sar-e-waqaar Aaqa Khud bheek do khud kaho bhala ho
Is dain ke main nisaar Aaqa Woh shakal hai woh ada tumhari
Allah ko aaye pyaar Aaqa Jo mujh se mujhe chupaye rakhe
Woh jalwa kar aashkaar Aaqa Jo kehte hain be-zuban tumhare Gungon ki suno pukaar Aaqa Woh dekh le Karbala mein jis ne Dekhe na hon jaan-nisaar Aaqa
Aaram se shash-jahat mein guzre Gham dil se na ho do-chaar Aaqa
Ho jaan-e-Hasan nisaar tujh par Ho jaaun tere nisaar Aaqa





