Do aalam mein roshan hai ikka tumhara Hawa la-makaan tak ujala tumhara
Na kyun gaaye bulbul tarana tumhara Ke paati hai har gul mein jalwa tumhara
Zameen waale kya jaanein rutba tumhara Hai ooncha falak se pharera tumhara
Padha be-zabaanon ne kalma tumhara Hai sang-o-shajar mein bhi charcha tumhara
Chhudaye ga gham se ishara tumhara Utare ga pul se sahara tumhara
Tumhein ho jawab-e-sawaalat-e-mahshar Tumhein ko pukare ga banda tumhara
Fa-tarza ki yeh pyaari pyaari sada hai Ke hoga qayamat mein chaha tumhara
Mere paas bakhshish ki mohri sanad hai Yeh kehta hai khat-e-Shafee-a tumhara
Phirein kis liye tishna kaamaan-e-mahshar Hai labrez rehmat ka darya tumhara
Bahut khush hain ushshaq jab se suna hai Qayamat mein hoga nazara tumhara
Nahi hai agar zuhd-o-taat toh kya gham Waseela toh laya hoon Maula tumhara
Ho tum haakim-o-faateh-e-baab-e-rehmat Ke hai wasf Inna Fatahna tumhara
Amal poochay jaatay hain Sarkar aao Kahein darr na jaaye nikamma tumhara
Jo anbaar-e-isyaan hain sar par toh kya gham Bahaday ga ik dam mein ahla tumhara
Daray aaftab-e-qayamat se kyunkar Jo banda huwa mere Aaqa tumhara
Banaya tumhein Haq ne mukhtar-o-haakim Woh kya hai nahi jis pe qabza tumhara
Kiya Haq ne bahr-e-kamalaat tum ko Na paya kisi ne kinara tumhara
Muyassar kisi ko nahi aisi rif-at Ke jaisa huwa paya bala tumhara
Rafa-na ka jalwa dikhane ko Haq ne Likha arsh par naam-e-wala tumhara
Qabail ke hissay kiye jab Khuda ne Kiya sab se aala qabeela tumhara
Azaanon mein khutbon mein shaadi-o-gham mein Gharaz zikr hota hai har ja tumhara
Yeh farsh-e-zameen hai tumhari hi khatir Bana hai sama shamiyana tumhara
Munawwar huwa aasman-e-risalat Ujala hai aisa dil-aara tumhara
Bharay is mein asraar-o-ilm-e-do-aalam Kushada kiya Haq ne seena tumhara
Bahukm-e-Khuda tum ho majood har ja Bazahir hai Taiba thikana tumhara
Tumhari sifat Haq ne farmayi shahid Har ik ja hai majood jalwa tumhara
Kisi ja hai Taha-o-Yaseen kahin par Laqab hai Siraajan Muneera tumhara
Jise Haq ke deedar ki aarzu ho Woh dekhey meri jaan chehra tumhara
Khuda hum ko bakhshay woh chashm-e-Khuda been Rahay kuch na parda hamara tumhara
Kiya tum ko noor-e-mujassam Khuda ne Zameen par nahi padta saya tumhara
Kamalon ka makhzan jamalon ka gulshan Khuda ne banaya gharana tumhara
Dil-e-paak bedaar aur chashm-e-khufta Nirala tha aalam mein sona tumhara
Khuda ne kiya apne pyare se wada Woh pyara hamara jo pyara tumhara
Wahi hai Khuda ki qasam banda-e-Haq Huwa jo bhi duniya mein banda tumhara
Sahaba se taqdeer walon ke qurbaan Hai paya jinhon ne zamana tumhara
Shab-e-wasl mein anbiya-o-malak ne Padha aasmanon pe khutba tumhara
Gumi aql-e-konain raaz-e-dana mein Samajh mein na aaya muamma tumhara
Mubaddal huay anbiya ke sahayif Muharraf na hoga saheefa tumhara
Huwa kufr kafoor phaila ujala Qadam jab huwa zaib-e-duniya tumhara
Jo abd-us-sanam thay huay but-shikan woh Suna jab nubuwwat ka dawa tumhara
Muqaddar mein tha jin ke imaan lana Woh foran bana dil se banda tumhara
Raza-at ke ayyam mein yeh hukumat Ke tha qurs-e-mah ik khilona tumhara
Shah-e-deen tumhari wiladat ke baa-is Hai jumma se afzal doshanba tumhara
Buton se kiya paak qibla banaya Hai mamnoon-o-shakir yeh Kaaba tumhara
Bhala kaun Kaaba ko Kaaba samajhta Jo Shaha na hota Madina tumhara
Jamadat ne di tumhari shahadat Padha sangrezon ne kalma tumhara
Sada de raha hai hajar mom ho kar Mah-o-mahar ki jaan hai talwa tumhara
Tumhare hi saya mein palta hai aalam Hai konain ke sar pe saya tumhara
Azal se abad tak do-aalam palein ge Magar kam na hoga khazana tumhara
Khuda hai tumhara khudayi tumhari Yeh arsh-o-falak sab ilaqa tumhara
Ghareebo siwaye dar-e-Mustafa ke Kahein bhi na hoga guzara tumhara
Faqiro bajuz wali-e-baikasaan ke Nahi hai kahein bhi thikana tumhara
Gadaon ki hai bheed jab se suna hai Ke baab-e-ijabat huwa wa tumhara
Sada dete aatay hain mangta hazaron Ke daata rahay bol baala tumhara
Koi bhej do abr-e-rehmat ka tukda Ke hum par baras jaaye jhaala tumhara
Arab waale phera hamari taraf bhi Hai har samt rehmat ka daura tumhara
Usi waqt dhul jaayein isyaan ke daftar Shaha jis pe pad jaaye chheenta tumhara
Khuda ne bahut aastanay banaye Magar asal hai aastana tumhara
Matalib ka qibla hai gar sabz gumbad Maqasid ka Kaaba hai roza tumhara
Yeh hai daab-e-shahi ke Rabb-ul-Ula ne Dilaya malaik se pehra tumhara
Siwaye dar-e-paak ke mere daata Batao kahan jaaye mangta tumhara
Mere tan mein jab tak rahay saans baqi Ratay jaaun har waqt kalma tumhara
Na bachtay azabon se duniya mein munkir Jo un ko na milta waseela tumhara
Khuda hai mere dil ki angushtari par Woh naam-e-Khuda naam-e-wala tumhara
Nakeerain kya mujh se sakhti karein ge Hai aaina-e-dil mein naqsha tumhara
Khudaya Nakeerain mujh se yeh poochein Ke pahuncha dein Taiba ko laasha tumhara
Tadap kar basad shauq un se kahoon mein Main be-had hi mamnoon hoon ga tumhara
Dua hai ke jab waqt ho jaankani ka Ho dil mein Ahad lab pe kalma tumhara
Khuda ne hayat-e-abad is ko bakhshi Agar margaya koi shaida tumhara
Dua hai ke jab qabr mein mujh ko rakhein Madine se uth jaaye parda tumhara
Sawaal-e-Nakeerain par mein lahad mein Dikha doon ga Maula yeh tughra tumhara
Dam-e-naz-o-qabr aur roz-e-qayamat Gharaz har jagah hai sahara tumhara
Garey saaray munkir jahannam mein pul se Na phisla koi naam-lewa tumhara
Na hooron ka talib na kuch fikr-e-jannat Dikha de Khuda mujh ko sehra tumhara
Ajab nikhat-e-jaanfiza hai tumhari Koi raah bhatka na joya tumhara
Usi se huay ambar-o-mushk mushtaq Hai khushbu ka masdar paseena tumhara
Jalein munkiran-e-qayam-o-wiladat Rahay ga yeh charcha hamesha tumhara
Suno munkiran-e-qayam-o-mahafil Ajab rang ka hai aqeeda tumhara
Batatay ho shirk aur hotay ho shamil Yeh hai be-hayai ka aana tumhara
Jameel ab toh khush ho nida aa rahi hai Ke maqbool hai yeh qaseeda tumhara





