Dil jhoom utha aur chalne lagi rahmat ki hawa, SubhanAllah Ma'il-ba-karam, woh aa hi gaye, jab yaad kiya, SubhanAllah
Nadir-a ki bakhshish ka saaman, har gham ki dawa, dukh ka darman Is chashm-e-karam ki ik jumbish ae Sall-e-Ala, SubhanAllah
Apnon ke liye bhi rahmat-e-kul, ghairon ke liye hadi-e-subul Hai noor-e-mujassam ki pyari har ek ada, SubhanAllah
Jab kasrat-e-gham se ghabra kar hum su-e-Madinah takte hain Faryad se pehle sunte hain Sarkar, sada, SubhanAllah
Hum aise nikammon par un ki hai kitni inayat roz-afzoon Har haal mein hain hum mahw-e-khata, woh mahw-e-ata, SubhanAllah
Yeh auj-o-sharaf aflak hadaf, hairan hain sab aslaf-o-khalaf Qausain ka woh qurb-e-kamil, yeh auj-e-duna, SubhanAllah
Sarkar ke dar par ae Khalid takrar-e-dua ka zikr hi kya Allah ghani is dar pe dua hai qasd-e-dua, SubhanAllah





