Dasht-e-Madinah ki hai ajab pur-bahar subah Har zarra ki chamak se ayan hain hazar subah
Munh dho ke jo-e-sheer mein aaye hazar subah Sham-e-Haram ki paaye na hargiz bahar subah
Lillah apne jalwa-e-aariz ki bheek de Kar de siyah bakht ki shab-ha-e-taar subah
Roshan hain un ke jalwa-e-rangeen ki tabishen Bulbul hain jama ek chaman mein hazar subah
Rakhti hai sham-e-Tayyabah kuch aisi tajalliyan Sau jaan se ho jis ki ada par nisaar subah
Nisbat nahin sahar ko gareban-e-paak se Josh-e-farogh se hai yahan taar taar subah
Aate hai pasban-e-dar-e-Shah falak se roz Sattar hazar sham to sattar hazar subah
Ae zarra-e-Madinah khudara nigah-e-mehr Tarke se dekhti hai tera intezar subah
Zulf huzoor-e-aariz-e-purnoor par nisaar Kya noor baar sham hai kya jalwa baar subah
Noor-e-wiladat-e-meh-e-Bat-ha ka faiz hai Rehti hai jannaton mein jo lail-o-nahar subah
Har zarra-e-Haram se numayan hazar mehr Har mehr se tuloo' kanaan be-shumar subah
Gesu ke baad yaad ho rukhsar-e-paak ki Ho mushk baar sham ki kafoor baar subah
Kya noor-e-dil ko Najdi-e-teera daron se kaam Ta-hashr sham se na mile zinhar subah
Husn-e-shabab-e-zarra-e-Tayyabah kuch aur hai Kya kor batin aaina kya sheershwar subah
Bas chal sake to sham se pehle safar kare Tayyabah ki haziri ke liye be-qarar subah
Mayoos kyun ho khaak nasheen husn-e-yaar se Aakhir ziya-e-zarra ki hai zimmedar subah
Kya dasht-e-paak-e-Tayyabah se aati hai ae Hassan Laayi jo apni jaib mein naqd-e-bahar subah





