Damak rahi hai mehak chaar soo Madinah ki Chhri hui hai kahin guftagu Madinah ki Dilon ka chain bhi hai rooh ka qarar bhi hai Na pooch cheez hai kya arzoo Madinah ki Nabi ki nisbatain hain sari azmaton ka sabab Nabi ki zaat se hai aabru Madinah ki Qadam-e-Huzoor ke aaye to rehmatain aayein Wagarna kuch bhi na thi aabru Madinah ki Tawaaf-e-Azmat Kabah bhi kar rahi hai wahaan Khuda hi jaane hai kya aabru Madinah ki Tarapte dil ko qarar aagaya Khuda ki qasam Kisi ne chhed di jab guftagu Madinah ki Zaroor tum ko bilayenge rehmat-e-Aalam Khuloos-e-dil se karo arzoo Madinah ki Nafs nafs mein Madinah ki yaad bas jaaye Qadam qadam pe rahe justuju Madinah ki Kuch aur husn ki barh jaaye aabru Khalid Jo khak munh pe milain khubro Madinah ki





