Bi-hamdi-llah Abd-ullah ka noor-e-nazar aaya Mubarak Amina ka noor-e-dil lakht-e-jigar aaya
Yeh Abdul-Muttalib ki khoobi-e-qismat keh un ke ghar Chiragh-e-lamakan kaun-o-makan ka tajwar aaya
Woh khatm-ul-ambiya tashreef farma hone wale hain Nabi har ek pehle se sunata yeh khabar aaya
Rabi-ul-pak tujh par Ahle-Sunnat kyun na qurbaan hon Keh teri barahween tareekh woh jaan-e-qamar aaya
Huye jab jalwa farma Shah-e-Zeeshan bazm-e-duniya mein Har ek qudsi falak se bahr-e-pa-bosi utar aaya
Jhuka jata hai sajde ke liye is waste Kaba Keh masjood-e-malaik aaj is mein jalwa-gar aaya
Na kyun tanha kare farman-rawai haft kishwar par Keh hamrahi mein apni le ke woh fath-o-zafar aaya
Kahanat mit gayi bilkul keh ab woh mukhbir-e-Sadiq Bi-fazli-llah ek ek baat ki dene khabar aaya
Uloom-e-awwaleen-o-akhareen hain jis ke seene mein Khabar hai zarra zarra ki jise woh ba-khabar aaya
Nifaq-e-jahiliyat se kaho ab munh chupa baithe Qabail ko woh karne ke liye sheer-o-shakar aaya
Shab-e-milad-e-aqdas thi musarrat zarra zarra ko Magar Iblees apne sathiyon mein nauha kar aaya
Zameen boli keh but-khane se pak-o-saaf hoti hoon Nida Kaba se uthi ab mera maqsood bar aaya
Gunahgaro kidhar ho fard-e-isyan apni dho daalo Rasool-ullah ka dariya-e-rehmat josh par aaya
Chalo ai mufliso jo aaj mango ge woh pao ge Keh sadqa baantta arz-o-sama ka tajwar aaya
Hukumat aisi naafiz hai keh un ka hukm paate hi Ali ke waste maghrib se sooraj laut kar aaya
Diya hukm-e-huzoori jis ghari Sarkar-e-Wala ne Zameen ko cheer-ta sajda-kunani foran shajar aaya
Kaho har roz kitni baar tum yaad us ki karte ho Khayal-e-ummat-e-aasi jise aathon pehar aaya
Yeh keh uthoon woh meri qabr mein jab jalwa farma ho To hat ja zulmat-e-marqad keh woh jaan-e-qamar aaya
Wahabi mehfil-e-aqdas mein gar aaye to yun samjho Keh insaanon mein kufri bojh laade jaise khar aaya
Jameel-e-Qadri jab sabz gumbad un ka dekhun ga To samjhoon ga meri nakhl-e-tamanna mein samar aaya





