Be-khud kiye dete hain andaaz-e-hijabana Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana
Jee chahe hai tohfay mein de doon main tujhe aankhein Darshan ka toh darshan hai nazranay ka nazrana
Sang-e-dar-e-janan par karta hoon jabeen saai Sajda na samajh zahid sar deta hoon nazrana
Itna toh karam karna ay chashm-e-karimana Jab jaan labon par ho tum samnay aa jana
Main hosh-o-hawaas apnay us baat pe kho baitha Hans kar jo kaha toonay yeh hai mera deewana
Peenay ko toh pee loon ga par arz zara si hai Ajmer ka saqi ho Baghdad ka maikhana
Kyun aankh milayi thi kyun baat barhayi thi Ab rukh ko chupatay ho kar ke mujhe deewana
Bedam meri qismat mein sajday hain isi dar ke Chhoota hai na chhootay ga sang-e-dar-e-janana





