Bazm-e-mahshar munaqqid kar meer-e-samaan-e-jamal Dil ke aaeeno ko muddat se hai armaan-e-jamal
Apna sadqa baantta aata hai Sultan-e-jamal Jholiyaan phailaaye daurein be-nawaayaan-e-jamal
Jis tarah se aashiqo ka dil hai qurban-e-jamal Hai yuhi qurban teri shakal par jaan-e-jamal
Be-hijabana dikha do ik nazar aan-e-jamal Sadqay hone ke liye haazir hain khwaahaan-e-jamal
Tere hi qamat ne chamkaya muqaddar husn ka Bas isi ikkay se roshan hai shabistan-e-jamal
Rooh le gi hashr tak khushboo-e-jannat ke mazay Gar basa de ga kafan itar garebaan-e-jamal
Mar gaye ushshaq lekin wa hai chashm-e-muntazir Hashr tak aankhein tujhe dhoondhein gi ae jaan-e-jamal
Paishgi hi naqd-e-jaan dete chalay hain mushtari Hashr mein khole ga ya-rab kaun dukaan-e-jamal
Aashiqo ka zikr kya mashooq aashiq ho gaye Anjuman ki anjuman sadqay hai ae jaan-e-jamal
Teri dhurriyat ka har zarra na kyon ho aaftab Sar-zameen-e-husn se nikli hai yeh kaan-e-jamal
Bazm-e-mahshar mein haseenaan-e-jahaan sab jama hain Par nazar teri taraf uthti hai ae jaan-e-jamal
Aa rahi hai zulmat-e-shab-haaye-gham peecha kiye Noor-e-Yazdaan hum ko le le zer-e-daaman-e-jamal
Wus’at-e-bazaar-e-mahshar tang hai us ke huzoor Kis jagah khole kisi ka husn dukaan-e-jamal
Khoobruyaan-e-jahaan ko bhi yahi kehte suna Tum ho shaan-e-husn jaan-e-husn imaan-e-jamal
Teera-o-taareek rehti bazm-e-khoobaan-e-jahaan Gar tera jalwa na hota shama-e-aiwaan-e-jamal
Main tasaddaq jaaun ae Shams-ud-Duha Badr-ud-Duja Is dil-e-taareek par bhi koi lam’aan-e-jamal
Sab se pehle Hazrat-e-Yusuf ka naam-e-paak loon Main ginaaun gar tere umeedwaaraan-e-jamal
Be-basar par bhi yeh un ke husn ne daala asar Dil mein hai phooti hui aankhon pe armaan-e-jamal
Aashiqo ne razmgahon mein galay katwa diye Wah kis kis lutf se ki eid-e-qurban-e-jamal
Ya-Khuda dekhun bahaar-e-khanda-e-dandaan-numa Barsay kisht-e-aarzoo par abr-e-neesaan-e-jamal
Zulmat-e-marqad se andesha Hassan ko kuch nahin Hai woh maddah-e-haseenaan manqabat-khwaan-e-jamal





