Bayaan tum se karoon kis waaste main apni haalat ka Ke jab tum par ayaan hai haal har dam saari khilqat ka
Khudaai bhar ke maalik ho khudaai tum se baahar hai Na koi hai na hoga hashr tak tum si hukoomat ka
Na kyon shah-o-gadaa phailaayein jholi aastaane par Ke rakha Haq ne tere sar pe taaj apni niyaabat ka
Tu wo hai zill-e-Haq noor-e-mujasam parto-e-qudrat Pasand aaya tere Saane' ko naqsha teri soorat ka
Mere Waali tere sadqe mein hum se naabkaaron ne Laqab Quran mein paaya hai Khuda se khair-e-ummat ka
Unhein kya khauf ho uqba ka aur kya fikr-e-dunya ki Jamaaye baithe hain jo dil pe naqsha teri soorat ka
Sharaf bakhsha unhein Maula Ta'ala ne malaaik par Sila paaya ye Jibreel-e-Ameen ne teri khidmat ka
Madine mein hazaaron jannatein un ko nazar aayin Nazaara kar to lein ik baar Rizwan meri jannat ka
Raja-o-yaas-o-umeed-o-tamanna dil ke andar hain Mera seena nahin goya ke ganjina hai hasrat ka
Na aabid hain na zaahid hain magar hum tere bande hain Sahaara hai hamein teri himayat ka shafa'at ka
Rasoolullah ka jo hogaya Rab hogaya us ka Faqat zaat-e-muqaddas hai waseela Haq ki qurbat ka
Bulandi-e-falak ka jab kabhi mujh ko khayaal aaya Khicha naqsha meri aankhon mein rauze ki ziyaarat ka
Bajuz deedaar jaa sakti hai kyonkar tishnagi us ki Jo pyaasa hai mere Maula teri ru'yat ke sharbat ka
Wo gesoo-e-mubarak kyon na jaan-e-mushk-o-ambar hon Ke jin ke waaste shaana bana hai dast-e-qudrat ka
Abas hai us ko Ahle Bait se da'wa-e-mohabbat ka Jo munkir hogaya Siddiq-e-Akbar ki khilaafat ka
Munafiq jis qadar chaahein karein koshish ghataane ki Qayamat tak rahega bol baala Ahl-e-Sunnat ka
Abu Jahl-e-la'een aalam hai jis ke kufr par shaahid Ta'ajjub kya agar dushman tha wo shaan-e-risaalat ka
Wahabi kalma padh kar karte hain tauheen-e-Maula ki Baroz-e-hashr le kar aayenge tamgha-e-adaawat ka
Wahabi tukhm-e-Abu Jahl-e-la'een ka ek pauda hai Samar laata hai Mehboob-e-Ilahi ki adaawat ka
Uloom-e-ghaib ka munkir teri tanqees ka jootyaan Wahabi ban gaya putla zalaalat ka khabaasat ka
Jameel-e-Qadri ki Ya Nabi itni tamanna hai Chupa le roz-e-mahshar us ko daaman teri rehmat ka





