Bandah-e-Haq umar na kho lahu mein Hosh mein aa aqal ko apni sambhal
Sab ko fana hai na rahe ga koi Baqi-o-daaim hai bas ik la-zawal
Waqt-e-muayyan pe ajal aaye gi Maut ke changal se hai bachna mahal
Aayi shab-e-unni sween Dhil-Hajjah ki Raat ke barah baje ka sun yeh haal
Walid-e-majid mere rukhsat huye Aalam-e-dunya se su-e-Dhul-Jalal
Budh ka din, unni sween, barah baje Dafn huye qabr mein woh khush-khisal
Misra mein likh de san-e-rehlat Jameel Aashiq-e-sadiq ne kiya inteqal





