Ae Kareem ibn-e-Kareem ae rehnuma ae muqtada Akhtar-e-burj-e-sakhawat gauhar-e-durj-e-ata
Aastanay par teray hazir hai yeh tera gada Laaj rakh lay dast-o-daman ki meray bahar-e-Khuda
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Shah-e-iqleem-e-wilayat sarwar-e-kaivan janaab Hai tumharay aastanay ki zameen gardoon qabaab
Hasrat-e-dil ki kashakash say hain lakhon iztiraab Iltija maqbool keejay apnay sail ki shataab
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Salik-e-rah-e-Khuda ko rehnuma hai teri zaat Maslak-e-irfan-e-haq mein peshwa hai teri zaat
Be-nawayan-e-jahan ka aasra hai teri zaat Tishna kaamon kay liye bahr-e-ata hai teri zaat
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Har taraf say fauj-e-gham ki hai charhai al-ghiyas Karti hai paamaal yeh be-dast-o-pai al-ghiyas
Phir gayi hai shakal-e-qismat sab khudai al-ghiyas Ae meray faryad-ras teri duhai al-ghiyas
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Nafs-e-ammarah kay phanday mein phansa hoon al-iyadh Dar tera be-kas panah koocha tera aalam-e-maladh
Rehm farma ya malazi lutf farma ya ma'adh Hazir-e-dar hai ghulam-e-aastaan bahar-e-nawaz
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Shehryar ae zi-waqar ae baagh-e-aalam ki bahaar Bahr-e-ihsaan rusha-e-nesan-e-jood-e-kardigar
Hoon khazan-e-gham kay hathon paamaali say dochar Arz karta hoon teray dar par ba-chashm-e-ashkbar
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Bar sar-e-parkhash hai mujh say adu-e-be-tamiz Raat din hai darpay-e-qalb-e-hazeem nafs-e-rajeez
Mubtala hai sau balaon mein meri jaan-e-aziz Hal-e-mushkil aap kay agay nahi dushwar cheez
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Ik jahan sairab-e-faiz-e-abr hai ab ki baras Tarnawa hain bulbulain parta hai gosh-e-gul mein ras
Hai yahan kasht-e-tamanna khushk-o-zindan-e-qafas Ae sahab-e-rehmat-e-Haq sookhay dhanon par baras
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Fasl-e-gul aayi aroosan-e-chaman hain sabz posh Shadmani ka nawasanjan-e-gulshan mein hai josh
Jobanon par aa gaya husn-e-bahar-e-gul farosh Haaye yeh rang aur mein yun daam mein gum kardah hosh
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Munkashif kis par nahi shaan-e-mualla ka urooj Aftab-e-haq-numa ho tum ko hai zaiba urooj
Main hazeez-e-gham mein hoon imdad ho shaha urooj Har tarraqi par tarraqi ho barhay doona urooj
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Ta-kuja ho paamal-e-lashkar-e-afkar-e-ruh Ta-bakay tarsaan rahay be-munes-o-ghamkhwar-e-ruh
Ho chali hai kawish-e-gham say nihayat zaar ruh Talib-e-imdad hai har waqt ae dildar ruh
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Dabdaba mein hai falak shaukat tera ae mah-e-kaakh Dekhtay hain topiyan thamay gada-o-shah-e-kaakh
Qasr-e-jannat say fazoon rakhta hai izzo jah-e-kaakh Ab dikha day deedah-e-mushtaq ko lillah kaakh
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Toba sail aur teray dar say paltay namurad Hum ne kya dekhay nahi ghamgeen aatay jatay shaad
Aastanay kay gada hain Qaiser-o-Kisra Qubad Ho kabhi lutf-o-karam say bandah-e-muztar bhi yaad
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Dekh kar is nafs-e-bad khaslat ki yeh zashti-e-khawas Soz-e-gham say dil pighalta hai mera shakal-e-risas
Kis say mangoon khoon-e-hasrat haaye kushta ka qasas Mujh ko is moozi kay changal say ata keejay khalaas
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Ek to nakhun-badal hai shiddat-e-afkar-e-qarz Is par aada ne nishanah kar liya hai mujh ko farz
Farz ada ho ya na ho lekin mera aazar farz Rad na farmao Khuda kay wastay sail ki arz
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Nafs-o-shaitan mein barhay hain sau tarah kay ikhtilat Har qadam dar-pesh hai mujh ko tariq-e-pul-e-sirat
Bhooli bhooli si kabhi yaad aati hai shakal-e-nishat Pesh-e-baar-e-koh-e-kaah-e-natwan ki kya basat
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Aafton mein phans gaya hai bandah-e-dar al-hafeez Jaan say sau kaahishon mein dam hai muztar al-hafeez
Ek qalb-e-natwan hai lakh nashtar al-hafeez Al-madad ae dad-ras ae bandah-parwar al-hafeez
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Subh-e-sadiq ka kinare-e-aasman say hai tulu Dhal chuka hai soorat-e-shab husn-e-rukhsar-e-shamoo
Tairon ne aashiyanon mein kiye naghmay shuru Aur nahin aankhon ko ab tak khwab-e-ghaflat say rujoo
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Badliyan chhaayin hawa badli huay shadab baagh Ghunchay chatkay phool mehkay bas gaya dil ka dimagh
Aah ae jaur-e-qafas dil hai keh mehroomi ka daagh Wah ae lutf-e-saba gul hai tamanna ka chiragh
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Aasman hai qaus-e-fikrain teer mera dil hadaf Nafs-o-shaitan har ghari kaf-ba-lab-o-khanjar-ba-kaf
Muntazir hoon main keh ab aayi sada-e-la takhaf Sarwar-e-deen ka tasaduq bahar-e-sultan-e-Najaf
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Barh chala hai aaj kal ahbab mein josh-e-nifaq Khush-mazaqan-e-zamana ho chalay hain bad-mazaq
Saikron pardon mein poshidah hai husn-e-ittifaq Bar sar-e-paikar hain agay jo thay ahl-e-wifaq
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Dar darindon ka andheri raat sehra haul-naak Raah na maloom ra'asha paon mein lakhon maghaak
Dekh kar abr-e-siyah ko dil hua jata hai chaak Aaiye imdad ko warna main hota hoon halak
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Ek aalam par nahin rehta kabhi aalam ka haal Har kamalay ra zawal-o-har zawalay ra kamal
Barh chukin shab-ha-e-furqat ab to ho roz-e-wisal Mehr idhar munh kar keh meray din phirain dil ho nihaal
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Go charhai kar rahay hain mujh par andoh-o-alam Go payapaye ho rahay hain ahl-e-aalam kay sitam
Par kahin chhoota hai tera aastan teray qadam Charah-e-dard-e-dil-e-muztar karain teray karam
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Hain kamar basta adawat par bahut ahl-e-zaman Ek jaan-e-natwan lakhon alam lakhon mihan
Sun lay faryad-e-Hasan farma day imdad-e-Hasan Subh-e-mehshar tak rahay abad teri anjuman
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Hai teray altaf ka charcha jahan mein chaar su Shehrah-e-aafaq hain yeh khaslatain yeh nek khu
Hai gada ka haal tujh par aashkara mo-ba-mo Aaj kal gheray huay hain chaar janib say adu
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Shaam hai nazdeek manzil door main gum kardah raah Har qadam par partay hain is dasht mein khas-posh jaah
Koi saathi hai na rehbar jis say hasil ho panah Ashk aankhon mein qalaq dil mein labon par aah aah
Ru-e-rehmat barmataab ae kaam-e-jaan az ru-e-man Hurmat-e-ruh-e-Payambar yak nazar kun su-e-man
Taaj walon ko mubarak taaj-e-zar takht-e-shahi Badshah lakhon huay kis par phali kis ki rahi
Main gada thehroon tera meri isi mein hai bahi Zill-e-daman-e-khak-e-dar deehim-o-afsar hai yahi