Ae dil tu duroodon ki awwal tu saja daali Phir ja ke Madinah mein rozay pe charha daali
Kya nazr karoon tere darbar-e-muqaddas mein Tauseef ke phoolon ki laya hoon Shaha daali
Ahmad ko kiya Aaqa aur hum ko kiya banda Allah ne rehmat ki kya khoob bana daali
Bas jaye dimagh-e-jaan ushshaq ka khushbu se La bagh-e-Madinah se phoolon ki saba daali
Khursheed-o-qamar aisay hotay na kabhi roshan Tu ne hi jhalak un mein ae Noor-e-Khuda daali
Tum se na kahoon kyonkar tum chand Arab ke ho Dekho to shab-e-gham ne kya mujh pe bala daali
Sharminda kiya mujh ko aagay mere Aaqa ke Ae nafs-e-la'een tu ne mujh par yeh bala daali
Maula mere naama se dhul jayenge sab isyan Ik boond agar tu ne ae abr-e-sakha daali
Mujrim tere armanon ka hai bagh phala phoola Le fard gunahon ki Maula ne mita daali
Sab bhar diye zakhm-e-dil Sarkar-e-Madinah ne Qalbon mein ghulamon ke rehmat ki dawa daali
Kuch aisi ghata Noori umandi ke teri ummat Paak ho gayi rehmat ki barish mein naha daali
Wallah madad un ki har dam hai kamar basta Jo baat meri bigri Maula ne bana daali
Maqbool usay kijiye aur is ka sila dijiye Laya hai Jameel apne arman ki saja daali





