Allah Allah tera darbaar Rasul Arabi ﷺ tera darbaar karam bar Rasul Arabi ﷺ Bekason ke madadgar Rasul Arabi ﷺ Kaash! Tayyaba ka haseen gulzar Rasul Arabi ﷺ Koi khaali nah gaya aap ke dar se Aqa ﷺ Hai sakhi aap ka darbaar Rasul Arabi ﷺ Koi daulat koi shuhrat koi tharwat chahe Main faqat tera talibgar Rasul Arabi ﷺ Sunnat ka ho ata dard-e Muslimon ko Door fashion ki ho bharmaar Rasul Arabi ﷺ Mera seena teri sunnat ka Madinah ban jaye Sunnat ka karun parchar Rasul Arabi ﷺ Jaam-e didaar pila do mere saqi ﷺ ab to Aankh hai kab se talibgar Rasul Arabi ﷺ Ab to Attar par Sarkar ho nazar-e-rahmat Al-Madad ya Shah-e Abrar Rasul Allah ﷺ





