Allah Allah Shah-e-Konain jalalat teri Farsh kya arsh pe jaari hai hukumat teri
Jholiyan khol ke be-samjhe nahin daur aaye Hamein maaloom hai daulat teri aadat teri
Tu hi hai mulk-e-Khuda milk-e-Khuda ka maalik Raaj tera hai zamana mein hukumat teri
Tere andaaz yeh kehte hain ke Khaaliq ko tere Sab haseenon mein pasand aayi hai surat teri
Us ne haq dekh liya jis ne idhar dekh liya Keh rahi hai yeh chamakti hui tal'at teri
Bazm-e-mahshar ka na kyun jaaye bulaawa sab ko Ke zamana ko dikhaani hai wajaahat teri
Aalam-e-rooh pe hai aalam-e-ajsaam ko naaz Chaukhatte mein hai anaasir ke jo surat teri
Jin ke sar mein hai hawa dasht-e-Nabi ki Rizwan Un ke qadmon se lagi phirti hai jannat teri
Tu woh mehboob hai ae rahat-e-jaan dil kaise Hezam-e-khushk ko tarpa gayi furqat teri
Mah-o-khursheed se din raat ziya paate hain Mah-o-khursheed ko chamkaati hai tal'at teri
Gathriyan bandh gayin par haath tera band nahin Bhar gaye dil na bhari dene se niyat teri
Maut aa jaaye magar aaye na dil ko aaraam Dam nikal jaaye magar nikle na ulfat teri
Dekhne waale kaha karte hain Allah Allah Yaad aata hai Khuda dekh ke surat teri
Majma-e-hashr mein ghabraayi hui phirti hai Dhoondne nikli hai mujrim ko shafa'at teri
Na abhi arsa-e-mahshar na hisab-e-ummat Aaj hi se hai kamar-basta himaayat teri
Tu kuch aisa hai ke mahshar ki museebat waale Dard dukh bhool gaye dekh ke surat teri
Topiyan thaam ke gar arsh-e-bareen par dekhein Oonche oonchon ko nazar aaye na rif'at teri
Husn hai jis ka namak-khwaar woh aalam tera Jis ko Allah kare pyaar woh surat teri
Dono aalam ke sab armaan nikaale tu ne Nikli is shaan-e-karam par bhi na hasrat teri
Chain paayenge tarapte hue dil mahshar mein Gham kise yaad rahe dekh ke surat teri
Hum ne maana ke gunaahon ki nahin had lekin Tu hai un ka to Hasan tere hai jannat teri





