Ajab rang par hai bahaar-e-Madinah Ke sab jannatein hain nisaar-e-Madinah
Mubarak rahe andaleebo tumhein gul Hamein gul se behtar hain khaar-e-Madinah
Bana shah-nasheen Khusro-e-do jahaan ka Bayaan kya ho izz-o-waqaar-e-Madinah
Meri khaak ya Rab na barbaad jaaye Pas-e-marg karde ghubaar-e-Madinah
Kabhi to ma'asi ke khirman mein ya Rab Lage aatish-e-lala zaar-e-Madinah
Rag-e-gul ki jab naazuki dekhta hoon Mujhe yaad aate hain khaar-e-Madinah
Malaaik lagate hain aankhon mein apni Shab-o-roz khaak-e-mazaar-e-Madinah
Jidhar dekhiye baagh-e-jannat khula hai Nazar mein hain naqsh-o-nigaar-e-Madinah
Rahein un ke jalwe basein un ke jalwe Mera dil bane yaadgaar-e-Madinah
Haram hai use saahat-e-har-do aalam Jo dil ho chuka hai shikaar-e-Madinah
Do aalam mein bat-ta hai sadqa yahan ka Hamein ik nahi reza-khwaar-e-Madinah
Bana aasman manzil-e-ibn-e-Maryam Gaye la-makaan taajdaar-e-Madinah
Muraad-e-dil-e-bulbul-e-be-nawa de Khudaya dikha de bahaar-e-Madinah
Sharaf jin se haasil hua ambiya ko Wohi hain Hassan iftikhaar-e-Madinah





