Aah poora mere dil ka kabhi armaan hoga Kabhi dil jalwa-gah-e-sarwar-e-khooban hoga
Mere dil par jo kabhi jalwa-e-jaanaan hoga Lam'a-e-noor mere rukh se numayaan hoga
Jalwa-e-mashaf-e-rukh dil mein jo pinhaan hoga Paaray paaray mein mere qalb ke Quran hoga
Chondh jaye gi teri aankh bhi mehr-e-mahshar Un ke zarra ko jo dekhe ga parishaan hoga
Dekh mat dekh mujhe garm nazar se Khawar Shokhi-e-chashm se tu aap parishaan hoga
Husn woh paaya hai khursheed-e-risalat tu ne Tere deedar ka talib mah-e-Kanaan hoga
Jalwa-e-husn-e-jahaan taab ka kya haal kahoon Aaina bhi to tumhein dekh ke hairan hoga
Kaun poochay ga bhala roz-e-jaza woh bhi mujhe Un ki rehmat ke siwa koi bhi pursaan hoga
Chaak-e-taqdeer ko kya sozan-e-tadbeer saye Laakh woh bakhiya kare chaak-e-garebaan hoga
Mujh ko dawa nahin ismat ka magar be-mauqa Aib joi na kare ga jo sukhan-daan hoga
Dil-e-dushman ke liye tegh-e-do paikar hai sukhan Chashm-e-haasid ko mera sher namak daan hoga
Umar saari to kati lahoo mein apni Noori Kab Madine ki taraf kooch ka saamaan hoga





