Agar qismat se main un ki gali mein khaak ho jaata Gham-e-konain ka saara bakhera paak ho jaata
Jo ae gul jaama-e-hasti teri poshaak ho jaata To khaar-e-neesti se kyun ulajh ke chaak ho jaata
Jo woh abr-e-karam phir aabroo-e-khaak ho jaata To us ke do hi chheenton mein zamaana paak ho jaata
Hawa-e-daaman-e-rangeen jo vairaana mein aa jaati Libaas-e-gul mein zaahir har khas-o-khaashaak ho jaata
Lab-e-jaan-bakhsh ki qurbat hayaat-e-jaavidaan deti Agar dora nafas ka resha-e-miswaak ho jaata
Hawa dil-sokhton ko chaahiye thi un ke daaman ki Ilaahi subh-e-mahshar ka garebaan chaak ho jaata
Agar do boond paani chashma-e-rehmat se mil jaata Meri na-paakiyon ke mail dhulte paak ho jaata
Agar paiwand malboos-e-Payambar ke nazar aate Tera ae hulla-e-shaahi kaleja chaak ho jaata
Jo woh gul soongh leta phool murjhaaya hua bulbul Bahaar-e-taazgi mein sab chaman ki naak ho jaata
Chamak jaata muqaddar jab dur-e-dandaan ki tal'at se Na kyun rishta gauhar ka resha-e-miswaak ho jaata
Adu ki aankh bhi mahshar mein hasrat se na munh takti Agar tera karam kuch ae nigaah-e-paak ho jaata
Bahaar-e-taaza rehtin kyun khizaan mein dhajiyan udteen Libaas-e-gul jo un ki malgaji poshaak ho jaata
Kamaandaar-e-nabuwat qaadir-andaazi mein yakta hain Do aalam kyun na un ka basta-e-fatraak ho jaata
Na hoti shaaq agar dar ki judaa'i tere zarra ko Qamar ik aur bhi roshan sar-e-aflaak ho jaata
Teri rehmat ke qabza mein hai pyaare qalb-e-maahiyat Mere haq mein na kyun zahr-e-gunah tiryaak ho jaata
Khuda taar-e-rag-e-jaan ki agar izzat badha deta Shiraak-e-na'l-e-paak sayyid-e-lolaak ho jaata
Tajalli-gaah-e-jaanaan tak ujaale se pahunch jaate Jo tu ae tosan-e-umr-e-ravaan chaalaak ho jaata
Agar teri bharan ae abr-e-rehmat kuch karam karti Hamaara chashma-e-hasti ubal kar paak ho jaata
Hasan ahl-e-nazar izzat se aankhon mein jagah dete Agar yeh musht-e-khaak un ki gali ki khaak ho jaata





