Adam se layi hai hasti mein aarzu-e-Rasool Kahan kahan liye phirti hai justuju-e-Rasool
Khusha woh dil ke ho jis dil mein aarzu-e-Rasool Khusha woh aankh jo ho mahv-e-husn-e-roo-e-Rasool
Balayein loon teri ae jazb-e-shauq Sall-e-Ala Ke aaj daman-e-dil khich raha hai su-e-Rasool
Talash-e-naqsh-e-kaf-e-pa-e-Mustafa ki qasam Chune hain aankhon se zarraat-e-khaak-e-koo-e-Rasool
Shagufta gulshan-e-Zehra ka har gul-e-tar hai Kisi mein rang-e-Ali aur kisi mein bu-e-Rasool
Phir un ke nasha-e-irfan ka puchna kya hai Jo pi chuke hain azal mein may-e-sabu-e-Rasool
Wajib tamasha ho maidan-e-hashr mein Bedam Ke sab hon pesh-e-Khuda aur rubaru-e-Rasool





