Ab aadmi kuch aur hamari nazar mein hai Jab se suna hai yaar libas-e-bashar mein hai
Apna hi jalwah hai jo hamari nazar mein hai Ab ghair kaun chashm-e-haqiqat nagar mein hai
Woh ganj-e-husn hai dil-e-veeran mein jalwah-gar Fazl-e-Khuda se daulat-e-kounain ghar mein hai
Bas ik farogh-e-naqsh-e-kaf-e-pa ke faiz se Har zarrah aaftab teri rahguzar mein hai
Allah khair mere dil-e-beqarar ki Andaaz yaas ka nigah-e-nama-bar mein hai
Khud-biniyon ki aankh mili chashm-e-shauq ko Meri nazar bhi aaj tumhari nazar mein hai
Banne se pehle saghar-e-mai toot jaate hain Kya muhtasib ki khaak kaf-e-koozah-gar mein hai
Gurbat mein bhi khayal-e-vatan saath saath hai Yeh bhi na ho to kis ka sahara safar mein hai
Ae Nooh! apni kashti-e-aalam se hoshiyar Toofan-e-girya aaj meri chashm-e-tar mein hai
Ik mehmaan se dono ghar aabaad hain mere Dil mein hai teer teer ka paikaan jigar mein hai
Hairaan hoon ki sajda karoon to kidhar karoon Kaaba mein bhi wahi but-e-kaafir nazar mein hai
Hanste hain mere girya-e-be-ikhtiyar par Yeh aap ki ada lab-e-zakhm-e-jigar mein hai
Bedam yeh justaju bhi ajab hai ajab talash Nikle hain dhoondne ko use hum jo ghar mein hai,!





