Tera jalwa noor-e-Khuda Ghaus-e-Azam Tera chehra imaan-faza Ghaus-e-Azam
Mujhe be-guma de guma Ghaus-e-Azam Na paaun mein apna pata Ghaus-e-Azam
Khudi ko mita de Khuda se mila de De aisi fana-o-baqa Ghaus-e-Azam
Khudi ko gumaun to mein Haq ko paaun Mujhe jaam-e-irfan pila Ghaus-e-Azam
Khuda-saz aaina-e-Haq-numa hai Tera chehra-e-pur-ziya Ghaus-e-Azam
Khuda to nahi hai magar tu Khuda se Juda bhi nahi hai zara Ghaus-e-Azam
Na tu khud Khuda hai na Haq se juda hai Khuda ki hai tu shaan Ya Ghaus-e-Azam
Tu bagh-e-Ali ka hai woh phool jis se Dimagh-e-jahan bas gaya Ghaus-e-Azam
Tera martaba kyun na aala ho Mawla Hai mehboob-e-Rabb-ul-Ula Ghaus-e-Azam
Tera rutba Allahu Akbar saron par Qadam awliya ne liya Ghaus-e-Azam
Tera daman-e-pak thaame jo rahzan Bane haadi-o-rahnuma Ghaus-e-Azam
Na kyun meharban ho ghulamon pe apne Karam ki hai tu kaan Ya Ghaus-e-Azam
Tere sadqe jaaun meri laaj rakh le Tere haath hai laaj Ya Ghaus-e-Azam
Pareshan kar de pareshaniyon ko Pareshan dil hai mera Ghaus-e-Azam
Meri kashti chakra rahi hai bhanwar mein Mere nakhuda ba-Khuda Ghaus-e-Azam
Khudara sahara sahara khudara Talatum hai had se siwa Ghaus-e-Azam
Are more saiyan parun tore paiyan Pakad mori baiyan piya Ghaus-e-Azam
Khataein hamari jo had se siwa hain Ata teri un se siwa Ghaus-e-Azam
Khata kariyan garcha had se bhi apni Siwa hain siwa hain siwa Ghaus-e-Azam
Hamari khata ko tumhari ata se Bhala koi nisbat bhi Ya Ghaus-e-Azam
Tu reham-o-karam ka hai be-payan darya Yeh ik fard-e-isyaan hai kya Ghaus-e-Azam
Yeh ik fard-e-isyaan hai kya tere aage Agar laakhon se hon siwa Ghaus-e-Azam
Tera ek hi qatra dho de ga sara Har ik safha-e-pur-khata Ghaus-e-Azam
Tu bekas ka kas aur bebas ka bas hai Tawan na-tawanon ki Ya Ghaus-e-Azam
Meri jaan mein jaan aaye jo aaye Mera jaan-e-alam mera Ghaus-e-Azam
Meri jaan kya jaan-e-imaan ho taza Ke hai Muhyi deen-e-Khuda Ghaus-e-Azam
Mera sar teri kafsh-e-pa par tasadduq Woh pa ke tu qabil hai Ya Ghaus-e-Azam
Jhalak roo-e-anwar ki apni dikha kar Tu Noori ko noori bana Ghaus-e-Azam





