Sun lo meri iltija achhay miyan Main tasadduq mein fida achhay miyan
Ab kami kya hai Khuda day bandah lay Main gada tum badshah achhay miyan
Deen-o-duniya mein bohat achha raha Jo tumhara ho gaya achhay miyan
Is buray ko aap achha kijiye Aap achhay mein bura achhay miyan
Aisay achhay ka bura hoon main bura Jin ko achhon ne kaha achhay miyan
Main hawalay kar chuka hoon aap ke Apna sab achha bura achhay miyan
Aap janain mujh ko is ki fikr kya Main bura hoon ya bhala achhay miyan
Mujh buray ke kaisay achhay hain naseeb Main bura hoon aap ka achhay miyan
Apnay mangta ko bula kar bheek di Ae main qurban-e-ata achhay miyan
Mushkilain aasaan farma dijiye Ae mure mushkil kusha achhay miyan
Meri jholi bhar do dast-e-faiz se Hazir-e-dar hai gada achhay miyan
Dam qadam ki khair mangta hoon tera Dam qadam ki khair la achhay miyan
Jaan-ba-lab hoon dard-e-isyan se huzoor Jaan-ba-lab ko do shifa achhay miyan
Dushmanon ki hai charhai al-ghiyas Hai madad ka waqt Ya achhay miyan
Nafs-e-sarkash dar-pay-e-aazar hai Hai madad ka waqt Ya achhay miyan
Shaam hai nazdeek sehra holnak Hai madad ka waqt Ya achhay miyan
Naz'a ki takleef ighwa-e-adu Hai madad ka waqt Ya achhay miyan
Woh sawal-e-qabr woh shaklain muheeb Hai madad ka waqt Ya achhay miyan
Pursish-e-a'maal aur mujh sa aseem Hai madad ka waqt Ya achhay miyan
Bar-e-isyan sar pe ra'sha paaon mein Hai madad ka waqt Ya achhay miyan
Khali haath aaya bharay bazaar mein Hai madad ka waqt Ya achhay miyan
Mujrim-e-nakara-o-diwan-e-adl Hai madad ka waqt Ya achhay miyan
Poochtay hain kya kaha tha kya kiya Hai madad ka waqt Ya achhay miyan
Pa-shikasta aur uboor-e-pul-e-sirat Hai madad ka waqt Ya achhay miyan
Khain-o-khati se letay hain hisab Hai madad ka waqt Ya achhay miyan
Bhool jaaun na main seedhi raah ko Meray achhay rehnuma achhay miyan
Tum mujhay apna bana lo behr-e-Ghaus Main tumhara ho chuka achhay miyan
Kaun day mujh ko muradain aap dain Main hoon kis ka aap ka achhay miyan
Yeh ghataain gham ki yeh roz-e-siyah Mehar farma mah-laqa achhay miyan
Ahmad-e-Noori ka sadqa har jagah Munh ujala ho mera achhay miyan
Aankh neechi dono aalam mein na ho Bol bala ho mera achhay miyan
Meray bhai jin ko kehtay hain Raza Jo hain is dar ke gada achhay miyan
Un ki munh mangi muradain hoon husool Aap farmain ata achhay miyan
Umar bhar mein un ke saya mein rahoon Un pe saya aap ka achhay miyan
Mujh ko meray bhaiyon ko hashr tak Ho na gham ka samna achhay miyan
Mujh pe meray bhaiyon par har ghari Ho karam sarkar ka achhay miyan
Mujh se meray bhaiyon se door ho Dukh marz har qism ka achhay miyan
Meri meray bhaiyon ki hajtain Fazl se kijiye rawa achhay miyan
Hum ghulamon ke jo hain lakht-e-jigar Khush rahain sab da'iman achhay miyan
Panjtan ka saya panchon par rahay Aur ho fazl-e-Khuda achhay miyan
Sab azizon sab qareebon par rahay Saya-e-fazl-o-ata achhay miyan
Ghaus-e-Azam Qutb-e-Aalam ke liye Rad na ho meri dua achhay miyan
Ho Hasan sarkar-e-wala ka Hasan Kijiye aisi ata achhay miyan





