Nahin khush-bakht muhtajan-e-alam mein koi hum sa Mila taqdeer se haajat rawa Farooq-e-Azam sa
Tera rishta bana sheeraza-e-jamiyat-e-khaatir Para tha daftar-e-deen Kitab-ullah barham sa
Muraad aayi muraadein milne ki pyaari ghari aayi Mila haajat rawa hum ko dar-e-Sultan-e-alam sa
Tere jood-o-karam ka koi andaza kare kyonkar Tera ik ik gada faiz-o-sakhawat mein hai Hatim sa
Khudara mehar kar ae zarra parwar Mehar-e-Noorani Siyah bakhti se hai roz-e-siyah mera shab-e-gham sa
Tumhare dar se jholi bhar muraadein bhar kar uthein ge Na koi baadshah tum sa na koi be-nawa hum sa
Fida ae Umm-e-Kulsoom aap ki taqdeer yaawar ke Ali baba hua dulha hua Farooq-e-Akram sa
Ghazab mein dushmanon ki jaan hai tegh-e-sar-afgan se Kurooj-o-rafz ke ghar mein na kyon barpa ho maatam sa
Shayateen muzmahil hain tere naam-e-paak ke darr se Nikal jaaye na kyon raffaz-e-bad-atwaar ka dam sa
Manayein eid jo Zil-Hajj mein teri shahadat ki Ilahi roz-o-maah-o-san unhein guzre Muharram sa
Hasan dar aalam-e-pasti sar-e-rifat agar daari Biya farq-e-iradat bar dar-e-Farooq-e-Azam sa





