Khwaja-e-Hind woh darbar hai a'ala tera Kabhi mehroom nahi mangne wala tera
May-e-sar josh dar-e-aghosh hai sheesha tera Bekhudi chhaye na kyun pee ke piyala tera
Khuftagan-e-shab-e-ghaflat ko jaga deta hai Salha saal woh raton ka na sona tera
Hai teri zaat ajab bahr-e-haqeeqat pyare Kisi tairak ne paya na kinara tera
Jaur-e-pamali-e-alam se ise kya matlab Khak mein mil nahi sakta kabhi zarra tera
Kis qadar josh-e-tahayyur ke ayan hain aasar Nazar aaya magar aaina ko talwa tera
Gulshan-e-Hind hai shadab kaleje thande Wah ae abr-e-karam zor barasna tera
Kya mehak hai ke mu'attar hai dimagh-e-alam Takhta-e-gulshan-e-firdous hai roza tera
Tere zarre pe ma'asi ki ghata chhayi hai Is taraf bhi kabhi ae mehr ho jalwa tera
Tujh mein hain tarbiyat-e-Khizr ke paida aasar Bahr-o-bar mein hamein milta hai sahara tera
Phir mujhe apna dar-e-pak dikha de pyare Aankhein pur-noor hon phir dekh ke jalwa tera
Zill-e-Haq Ghous pe hai Ghous ka saya tujh par Saya gustar sar-e-khuddam pe saya tera
Tujh ko Baghdad se hasil hui woh shan-e-rafi' Dang reh jate hain sab dekh ke rutba tera
Kyun na Baghdad mein jaari ho tera chashma-e-faiz Bahr-e-Baghdad hi ki nehar hai darya tera
Kursi daali teri takht-e-Shah-e-Jilan ke huzoor Kitna ooncha kiya Allah ne paya tera
Rashk hota hai ghulamon ko kahin aqa se Kyun kahoon rashk-e-deh-e-Badr hai talwa tera
Bashar afzal hain malak se teri yun madh karoon Na malak khaas bashar karte hain mujra tera
Jab se tu ne qadam-e-Ghous liya hai sar par Auliya sar pe qadam lete hain shaha tera
Muhyi-e-Deen Ghous hain aur Khwaja Moinuddin hai Ae Hassan kyun na ho mehfooz aqeeda tera





