Karoon kya haal-e-dil izhar Ya Ghous Ke tum ho Alam-ul-Asrar Ya Ghous
Nikalo bahr-e-gham se meri kashti Hai hail beech mein manjhdhar Ya Ghous
Siva tere kahoon kis se gham apna Nahi mera koi ghamkhar Ya Ghous
Madad ka waqt hai imdad kijiye Meri halat hui hai zaar Ya Ghous
Dil-e-tareek par farma de saiqal Mera seena ho pur-anwar Ya Ghous
Ata kar sehat-e-kamil isey bhi Yeh banda hai tera bimar Ya Ghous
Bula Baghdad mein lillah-e-aqa Dikha apna mujhe darbar Ya Ghous
Isharay se teri rehmat ke ban jaye Yeh ujra ban mera gulzar Ya Ghous
Meri aankhon ko mere dil ke andar Nazar aayen tere anwar Ya Ghous
Na ghabraoon shab-e-taar-e-lahad se Nazar aayen tere anwar Ya Ghous
Khule jab khwab-e-marqad se meri aankh Mujhe ho aap ka deedar Ya Ghous
Tumhare rooye roshan ko kahoon kya Qamar ya matla-e-anwar Ya Ghous
Rah-e-Mousil hui ik aan mein tay Karamat aap ki raftaar Ya Ghous
Madad farmaiye Ya Ghous-e-Azam Mera koi nahi hai yaar Ya Ghous
Madad ka waqt hai sarkar aao Kiya gham ne mujhe lachar Ya Ghous
Nikala saikron doobay huon ko Mere bairay ko kar do paar Ya Ghous
Barha kar hath ik tukra utha do Ke yeh banda bhi hai haqdar Ya Ghous
Aghithni ya habibi Ghous-ul-Azam Hua hai gham galay ka haar Ya Ghous
Kahan tak main phiroon bekar shaha Mujhe kar dijiye bakhar Ya Ghous
Para sota hai mera bakht-e-khufta Zara kar dijiye bedar Ya Ghous
Maye irfan ka ik saghar pila kar Mujhe kar dijiye hoshiyar Ya Ghous
Khudi aisi mita dil se ke mil jayen Khuda aur Ahmad-e-Mukhtar Ya Ghous
Mujhe aisi ata kar yaad apni Na bhooloon main tujhe zinhar Ya Ghous
Fana kar yun ke main sotay mein dekhoon Tera darbar-e-pur-anwar Ya Ghous
Tamanna bulbul-e-shaida ki yeh hai Milay Baghdad ka gulzar Ya Ghous
Mujhe dunya mein jannat ho jo mil jaye Tumhara saya-e-deewar Ya Ghous
Kahan ja kar karay aankhon ko roshan Tumhara talib-e-deedar Ya Ghous
Hoon main bhi Qadri Ya Abd-e-Qadir Na hoon dono jahan mein khwar Ya Ghous
Rahay sarsabz mera ghuncha-e-dil Chubhay koi na gham ka khaar Ya Ghous
Parhein tasbeeh tere naam ki hum Rahay jab tak nafas ka taar Ya Ghous
Rahoon har waqt sargarm-e-ita'at Mujhe aisa bana deendar Ya Ghous
Tere ik qatra-e-rehmat se dhul jaye Gunahon ka meray tomar Ya Ghous
Pakarna hath mera dastgeera Uboor-e-pul na ho dushwar Ya Ghous
Karo sau martaba us ki madad tum Pukaray jo tumhein ik baar Ya Ghous
Kehay jao mureedi La Takhaf tum Pukaray jaoon main har baar Ya Ghous
Zah-e-qismat qayamat tak rahay ga Mureedon par tumhara pyar Ya Ghous
Tamami Awliya ke ta-qayamat Tumhein ho qafila salar Ya Ghous
Karein ge roz-e-mahshar hum pe saya Tumhare gesoo-e-khamdar Ya Ghous
Sifarish kijiye mahshar mein meri Ke mujh ko bakhash de Ghaffar Ya Ghous
Musalman kijiye aisa khudara Ke tootay nafas ka zunnar Ya Ghous
Atibba kar sakein jis ka na chara To kho deta hai woh aazar Ya Ghous
Mareezon ke liye Dar-ul-Shifa hai Tera darbar-e-pur-anwar Ya Ghous
Hain milti namuradon ko muradein Tera darbar hai durbar Ya Ghous
Salateen-e-zamana kyun na mangein Tera darbar hai durbar Ya Ghous
Aghithni keh ke jo manga woh paya Tera darbar hai durbar Ya Ghous
Rasool-e-Allah ka tu ladla hai Ali kartay hain tujh ko pyar Ya Ghous
Qadam tera hai dosh-e-Awliya par Tujhe Haq ne kiya sardar Ya Ghous
Nabi ke mojizon ka tu hai mazhar Batatay hain tere asar Ya Ghous
Rasool-e-Allah ne seenay mein teray Bharay hain ghaib ke asrar Ya Ghous
Uloom-e-Mustafa o Murtaza ke Tumhein par hain khulay asrar Ya Ghous
Laqab hai Majma-ul-Bahrain tera Hain jaari tujh se sab anhar Ya Ghous
Iraq, Ajmer o Marehra, Bareilly Nahi kis ja tere anwar Ya Ghous
Dil-e-maghmoom se meri basad aah Nikalti hai sada har baar Ya Ghous
Hai meri taak mein shaitan-e-mardoood Madad teri rahay tayyar Ya Ghous
Tumhare dushmanon ke kaatnay ko Zaban meri banay talwar Ya Ghous
Khuda ka khas banda ban gaya woh Kiya jis ne tera iqrar Ya Ghous
Khuda bhi ho gaya naraz us se Tu jis se ho gaya bezaar Ya Ghous
Bila-shak ho gaya maqhoor-e-Izad Kiya jis ne tera inkar Ya Ghous
Hui zillat usay dono jahan mein Pari jis par teri phitkar Ya Ghous
Dobara deen ko ab zinda kijiye Hui hai yurish-e-kuffar Ya Ghous
Rahay mangta hamesha shad-abad Aur a'daye la'een fin-nar Ya Ghous
Jamil-e-Qadri ki laaj rakhna Hazoor-e-Wahid-e-Qahhar Ya Ghous





