Karte hain jin-o-bashar har waqt charcha Ghaus ka Baj raha hai chaar su aalam mein danka Ghaus ka
Naar-e-dozakh se bachaye ga sahara Ghaus ka Le chale ga khuld mein adna ishara Ghaus ka
Naz'a mein marqad mein mehshar mein madad farmayenge Ho chuka hai ahd pehle hi hamara Ghaus ka
Khaliq-e-kaun-o-makaan ne pehle hi roz-e-azal Likh diya hai meri peshani pe banda Ghaus ka
Kya ajab be-pooche mujh ko chhor dein Munkar Nakeer Dekh kar mere kafan par naam likha Ghaus ka
Naz'a mein marqad mein mehshar mein kahein bhi Ya Khuda Haath se chhoote na daaman-e-mu'alla Ghaus ka
Haan zara tehro farishto phir jo chaho poochhna Kar to lene do mujhe pehle nazara Ghaus ka
Sab khas-o-khashak-e-isyan aan mein beh jaye ga Josh par aa jaye ga jis waqt darya Ghaus ka
Jholiyan phelao doro bheek lo daaman bharo Bat raha hai aastan par aam bara Ghaus ka
Aankhein malne ke liye haath aaye chaukhat Ghaus ki Sar ragadne ke liye mil jaye roza Ghaus ka
Sajdah-gah-e-jin-o-insaan aap ka naqsh-e-qadam Taaj walon ke liye hai taaj talwa Ghaus ka
Roshni-e-shama se kya kaam andhi aankh ko Momino ke chashm-e-dil mein hai ujala Ghaus ka
Saltanat Shah-e-Madinah ne ata farmayi hai Raij iqleem-e-wilayat mein hai sikka Ghaus ka
Jalte hain dushman Khuda ke un ke zikr-o-fikr se Wird sab Allah wale karte hain Ya Ghaus ka
Kar rahe hain ashqiya koshish ghatane ki magar Roz afzoon ho raha hai bol bala Ghaus ka
Naqsha-e-Shah-e-Madinah saaf aata hai nazar Jab tasawwur mein jamate hain sarapa Ghaus ka
Sadqe us banda nawazi ke fida us dain ke Hum se kutte pal rahe hain kha ke tukra Ghaus ka
Hashar mein utha hua hai ruye-anwar se naqab Aashiqo dil khol ke karlo nazara Ghaus ka
Umr bhar rakhna Jameel-e-Qadri wird-e-zaban Naam Haq ka aur Habib-e-Kibriya ka Ghaus ka
Ghaus ko kyonkar na aaye pyar tum par ae Jameel Hai Raza murshid tumhara jab ke pyara Ghaus ka





