Jo noor-bar hua aftab-e-husn-e-maleeh Huye zameen-o-zamaan kamyab-e-husn-e-maleeh
Zawaal mehr ko ho maah ka jamaal ghate Magar hai auj-e-abad par shabab-e-husn-e-maleeh
Zameen ke phool garebaan dareeda-e-gham-e-ishq Falak pe badr dil afgaar-e-taab-e-husn-e-maleeh
Dilon ki jaan hai lutf-e-sabaahat-e-Yusuf Magar hua hai na hoga jawab-e-husn-e-maleeh
Ilahi maut se yun aaye mujh ko meethi neend Mere khayal ki raahat ho khwab-e-husn-e-maleeh
Jamaal walon mein hai shor-e-ishq aur abhi Hazaar pardon mein hai aab-o-taab-e-husn-e-maleeh
Zameen-e-shor bane takhta-e-gul-o-sumbul Arq fishaan ho agar aab-o-taab-e-husn-e-maleeh
Nisaar-e-daulat-e-bedaar-o-taale-azwaaj Na dekhi chashm-e-Zulekha ne khwab-e-husn-e-maleeh
Tajalliyon ne namak bhar diya hai aankhon mein Malaahat aap hui hai hijaab-e-husn-e-maleeh
Namak ka khaasa hai apne kaif par laana Har ek shai na ho kyun behra yaab-e-husn-e-maleeh
Asal ho aab banen koozah-haye-qand hubab Jo bahr-e-shor mein ho aks-e-aab-e-husn-e-maleeh
Dil-e-sabaahat-e-Yusuf mein soz-e-ishq-e-Huzoor Nabaat-o-qand huye hain kabaab-e-husn-e-maleeh
Sabeeh hoon ke sabaahat jameel hoon ke jamaal Gharz sabhi hain namak-khwaar-e-baab-e-husn-e-maleeh
Khule jab aankh nazar aaye woh malaahat-e-paak Bayaaz-e-subh ho ya-Rabb kitaab-e-husn-e-maleeh
Hayaat-e-be-mazah-o-bakht-e-teerah meedaaram Bataab ae mah-e-gardoon janaab-e-husn-e-maleeh
Hassan ki pyaas bujha kar naseeb chamka de Tere nisaar mein ae aab-o-taab-e-husn-e-maleeh





