Jamal-e-ru-e-Nabi ؑ, husn-e-Kibriya hai Ali ؑ Khuda nahin hai magar mazhar-e-Khuda hai Ali ؑ
Kuch is liye bhi tauheed ؑ hai shehr-e-ilm ka dar Dilon ko ilm ki khairat baant-ta hai Ali ؑ
Idhar udhar ka sawali na ban na umar ganwa Mujhe Ali ki qasam, dast-e-Kibriya hai Ali ؑ
Sada ye aaj bhi aati hai bab-e-Khyber se Khuda ke deen ka museebat mein aasra hai Ali ؑ
Haram mein but-shikani ka muzahira dekho! Ke ibtida hai Muhammad ﷺ to intiha hai Ali ؑ
Khabar thi garam ke Meraj ka safar ho ga Nabi ﷺ se pehle falak par pahunch gaya hai Ali ؑ
Khuda ke deen, teri zindagi salamat hai Teri ragon mein lahu ban ke goonjta hai Ali ؑ
Hazaar Samri saanpon mein ghar ke khauf na kha Kaleem-e-Toor ki jurrat tera asa hai Ali ؑ
Ali ؑ se marifat-e-ilm ki zakat chali Maqam-e-ilm se duniya mein aashna hai Ali ؑ
Yehi sirat-e-haqiqat, yehi siraj-e-azal Khuda ke shehr ka aasaan rasta hai Ali ؑ
Ali ؑ ke pehle pehar ki iltimaas-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke pichle pehar ki haseen dua hai Ali ؑ
Bikhar ke bolte Quran ka sarapa hai Simat ke nuqta-e-tazeem-e-harf-e-ba hai Ali ؑ
Usi ke naam ka naara hai irtaash-e-wujood Sakoot-e-gumbad-e-ehsas ki sada hai Ali ؑ
Ali ؑ Ali ؑ se munawwar gali gali Mohsin Gali gali mein hamesha meri sada hai Ali ؑ





