Ahmad ki raza khaliq-e-alam ki raza hai Marzi-e-Khuda marzi-e-Shah-e-dusa hai
Hota hai fatarda ke isharat se zahir Marzi-e-Khuda woh hai jo Ahmad ki raza hai
A'da-e-Raza jo-e-Nabi hote hain ruswa Aur un ke ghulamon ka do alam mein bhala hai
Chahe jo Raza un ki Khuda us se hai razi Talib jo Raza ka nahi mardood-e-Khuda hai
Mehboob-e-Ilahi se tumhein bughz-o-adawat Ae dushman-o Allah ke ghar us ki saza hai
Allah kisi ki na ho qismat ka badayun Jis tarah ke a'da-e-siyah-roo ka bada hai
Achhe ka jo achha hai Khuda ka hai woh achha Achhon se jo phir jaye buron se woh bura hai
Ahmad ko diya fazl-e-Khudaye-do-jahan ne Haan us ki raza khaliq-e-alam ki raza hai
Hamid ki raza Ahmad-o-Mehmood ki marzi Woh chahe ke manzoor jise haq ki raza hai
Wallah ke banda hoon main Ahmad ki raza ka Yeh naam-e-mubarak meri aankhon ki ziya hai
A'da ke mitaye se mite kab teri izzat Allah Ta'ala ne tujhe fazl diya hai
Imaan ki yeh hai ke tera qaul hai imaan Aur qaul tera woh hai jo farman-e-Khuda hai
Har mulk mein jari hai tere naam ka sikka Aur kyun na ho haq ne tujhe Sultan kiya hai
Allah ka banda hai tera tabi-e-farman Haq se woh phira jo ke tere dar se phira hai
A'da-e-la'een zulm-o-sitam karte hain har dam Aur hilm tera yeh ke tu masroof-e-dua hai
Rakhta hai sada apne ghulamon ko tu mansoor Ya Shah-e-Madinah teri kya khoob ata hai
Jo chahe Jameel Qadri ko tu ata kar Mukhtar hai tu aur woh razi bar-raza hai





