Meri Ya Rab! muhafizat farma Khuld-e-usloob-e-aakhirat farma
Chahiye hamd mein gudaz agar Ahl-e-hub se musahiyat farma
Kar hawa se salah ae dil! tu Paaniyon se mushawarat farma
Koi aata nahin madad ko agar Khaak se keh' muawanat farma
Rabbirham se iltija hai' maaf Meri har ek maasiyat farma
Kar karam apna' pehle se mazboot Doston mein yaganat farma
Yeh sab aapas mein ladte rehte hain Rehbaron mein musalahat farma
Lafz-o-maani mein badh gayi hai khaleej In mein paida mutabiqat farma
Nadim aaya hai tere dar pe Riazؔ Tu qabool us ki ma'zirat farma





