Maasiyat aur gunahon se bachaye rakhna Izzat-e-ahbab ki aankhon mein banaye rakhna
Mujh khatakar ki darmandagi hashr mein bhi Aabroo rakhna, meri saakh banaye rakhna
Safar-e-aakhirat aasaan ho mira jin se, mere Sar pe ashjaar-e-behishti ke woh saaye rakhna
Saari izzat hai isi dar ki zameen bosi mein Is ki dehleez par apne ko giraye rakhna
Rab-ba reham wahi us ke karam ke baare Khush gumaani ke diye mein jalaye rakhna
Rehmat-e-izadi utre gi sana ki soorat Sa'i-e-takhleeq mein dil apna lagaye rakhna
Us ke ahkaam hain har pehlu se harf-e-aakhir Abas is baab mein apni koi raaye rakhna
Us ki hasti ke huzoor apna aqeedat se Riyazؔ Sar jhukaye hue, haathon ko uthaye rakhna





