Ka'be ke sahn-e-mohtaram mein baith Baith mahol-e-zi-hasham mein baith
Baab-e-Ka'ba ki samt ho yaksu Waqt jitna mile, Haram mein baith
Kuch paraau tariq-e-Hujra mein Us ki reh ke qadam qadam mein baith
Langar andaaz ho hawa-e-sana! Lab-o-lehja ke zer-o-bam mein baith
Abr-e-'la-taq-natu' ke saaye mein Khush gumaan reh, bhale bharm mein baith
Aasmaan-e-sana mein kar parwaaz Yun na duniya ke ranj-o-gham mein baith
Zar-e-midhat! Riaz Aajiz ke Khat-e-kilk-e-sana raqam mein baith





