Ilahi hamd se aajiz hai yeh sara jahan tera Jahan walon se kyonkar ho sake zikr-o-bayan tera
Zameen-o-aasman ke zarre zarre mein tere jalwe Nigahon ne jidhar dekha nazar aaya nishan tera
Thikana har jagah tera samajhte hain jahan wale Samajh mein aa nahin sakta thikana hai kahan tera
Tera mehboob paighambar teri azmat se waqif hai Ke sab nabiyon mein tanha hai wahi ek raazdan tera
Jahan-e-rang-o-bu ki wus'aton ka raazdan tu hai Na koi hamsafar tera na koi karwan tera
Teri zaat-e-mu'alla aakhri tareef ke laiq Chaman ka patta patta roz-o-shab hai naghma khwan tera





