Hashr mein namah-e-sayah ka bojh Koh mehsoos hoga kaah ka bojh
Aag ke kapre raham! hoga woh kya Aatishin jubba-o-kullah ka bojh
Darguzar, afw, maghfirat, Ya Rabb! Kis se uth paye ga gunah ka bojh
Dekh mizan-e-hashr ki ro se Sakht hai ek ghalat nigah ka bojh
Bandagi ho mujhe halawat bakhsh Ho na mehsoos is nibah ka bojh
Lafz-e-tauheed tujh se hai makhsoos Shirk ek harf-e-ishtibah ka bojh
Saaf kar deejiyo, meri fard-e-amal Mein hai isyan-e-be-panah ka bojh
Be-niyazana jah zamane mein Sakht hai qalb-e-hirs khwah ka bojh
Ghalti ki Riyaz hum ne jo Saath le aaye ghar mein rah ka bojh





