Hama atraf, hama zawiya, rahmat rahmat Tere altaf ki umeed hai sa'at sa'at
Mujh tan-aasaan ki samarwar ho, karoon jo koshish Sehat-o-umr mein, a'maal mein, barkat barkat
Noor-e-azkaar tera chahiye lamha lamha Ho tere zikr se roshan meri sohbat sohbat
Bachon aur boorhon ke chehre hon bashashat saamaan Har su bazaron mein, galiyon mein ho behjat behjat
Hon bahaar aashna, awraaq-e-khizani shaklein Chehra chehra ho sukoon, chain ho soorat soorat
Khuld usloob hon sab zindagi ki tarjeehat Raast andaaz sab a'maal hon jannat jannat
Hon kisi wazeh qareenay se yeh izhaar-e-pazeer Dil mein jo thehray huay aks hain hairat hairat
Tere mehboob ka paigham hama haq jis par Mohr-e-tasdeeq hai Quran ki aayat aayat
Ghaib se koi karamat keh pighal jaaye yeh barf Yeh jo ta had-e-nazar phaili hai ghaflat ghaflat
Karam-e-khaas keh ummat nikal aaye is se Hai zawaal aashna zehnon mein jo wehshat wehshat
Palat aa, zaat ke khamosh khalaon ki taraf Kar dila! fitnay ke mahol se hijrat hijrat
Mere Allah! ata waqt ho, tauba ke liye Khair ke wastay darkaar hai mohlat mohlat
Intishar aashna aghraaz ke halqay se nikal Hai ilaaj ek hi is hirs ka, khalwat khalwat
Gung jazbon pe karam Ummi laqab ke sadqay Arz-e-izhaar mein darpesh hai luknat luknat
Sou duaon ki yahi ek dua maang Riaz ''Khatma khair pe ho, ant ho jannat! jannat''





