Hajj ke ayyam ka hai ghao bahut Hai kisi yaad ka dabao bahut
Aankh toh khushk hai magar dil mein Aaj ashkon ka hai bahao bahut
Yaad aaye Hatim ke manzar Kahin andar hua katao bahut
Yaad aayen Mina ki raatein barha Aur ehsas mein tanao bahut
Haif sad haif tere shehr, mera Ghaflat amez tha parao bahut
Naat goyan-e-rafta ka kal se Tez hai yaad ka alao bahut
Wohi pal arjumand tha jis pal Tha Haram ki taraf jukao bahut
Maalka! kar karam' sada tujhse Meri jaan ka rahe lagao bahut
Wahan karna Riaz ko bhi yaad Tayyaba ko ja rahi hawao bahut





