Ikhlas asar yeh bada farma Fann-e-khair par istada farma
Ae sab pe bohat raheem! mujh par Rehmat ki nazar zyada farma
Mujh kam dil-o-kam nigah ki qabr Ta hadd-e-nazar kushada farma
Har manzil-e-khwahish-o-talab mein Taqwa ko mera libada farma
Hum-zehan kar meri har jibillat Dil ko mera hum-irada farma
Zanjeer kar apni bandagi mein Ta'at ko mera qalada farma
Jo pak tha shor-o-shar se' meri Un mausamon ka iaada farma
Kar naqsh Riaz dil mein woh daur Is waqt se istifada farma





