Be-nishan ko sana-nishan kiya Tu ne kya kya na meharban! kiya
Dil mein jo kuch tha, ae Rahim-o-Karim Hamd ki raah se bayan kiya!
Rabb-e-Ma’ni! tera karam tu ne Lafz ko hubb ka tarjuman kiya
Kya mera sukoot, arz-e-andaz Meri chup ko meri zaban kiya!
Dukh ko di sukh shakal mere liye Dhoop ko mera saiban kiya!
Hamd aur naat ke waseele se Meharban mujh pe kul jahan kiya
Mujh ko apne karam ke bare mein Pur-umeed aur khush-guman kiya
Reham-e-madar se bab-e-jannat tak Mujh ko pal bhar na be-aman kiya
Paas paya Riaz ne tujh ko Teri rehmat pe jab bhi dhiyan kiya





