Ae deen-e-haq ke rehbar tum par salam har dam Mere shafee-e-mehshar tum par salam har dam
Is bekas-o-hazein par jo kuch guzar rahi hai Zahir hai sab woh tum par, tum par salam har dam
Dunya-o-aakhirat mein jab mein rahoon salamat Pyare parhoon na kyunkar tum par salam har dam
Dil tafta-gan-e-furqat pyase hain muddaton se Hum ko bhi jaam-e-Kausar tum par salam har dam
Banda tumhare dar ka aafat mein mubtala hai Reham ae Habib-e-Dawar tum par salam har dam
Be-warison ke waris be-waliyon ke wali Taskeen-e-jaan-e-muztar tum par salam har dam
Lillah ab hamari faryad ko pahunchiye Be-had hai haal abtar tum par salam har dam
Jallad-e-nafs-e-bad se deeje mujhe rihai Ab hai gale pe khanjar tum par salam har dam
Daryoza-gar hoon mein bhi adna sa is gali ka Lutf-o-karam ho mujh par tum par salam har dam
Koi nahin hai mera mein kis se daad chahoon Sultan-e-banda-parwar tum par salam har dam
Gham ki ghataein ghir kar aayi hain har taraf se Ae meher-e-zarra-parwar tum par salam har dam
Bulwa ke apne dar par ab mujh ko deeje izzat Phirta hoon khwar dar dar tum par salam har dam
Mohtaj se tumhare karte hain sab kinara Bas ik tumhein ho yawar tum par salam har dam
Bahr-e-Khuda bachao in khar-haye gham se Ik dil hai lakh nashtar tum par salam har dam
Koi nahin hamara hum kis ke dar pe jayen Ae be-kason ke yawar tum par salam har dam
Kya khauf mujh ko pyare naar-e-jaheem se ho Tum ho shafee-e-mehshar tum par salam har dam
Apne gada-e-dar ki leeje khabar khudara Keeje karam Hasanؔ par tum par salam har dam





