As-salatu was-salamu ay Sarwar-e-aali maqaam As-salatu was-salamu ay rahbar-e-jumla anaam
As-salatu was-salamu ay mazhar-e-zaat-us-salaam As-salatu was-salamu ay paikar-e-husn-e-tamaam
Ya Habib-Allahi anta mahbit-ul-wahy-il-mubeen Inni mudh-nibin Sayyidi anta shafi-ul-mudh-nibeen
Ya Rasul-Allahi anta saadiq-ul-wa'd-il-ameen Ya Nabiyy-Allahi anta rahmatul-lil-aalameen
Ay Shah-e-Arsh-e-aastaan ay Sarwar-e-kon-o-makaan Ay mere imaan-e-jaan ay jaan-e-imaan-e-zamaan
Ay mere amn-o-amaan ay Sarwar-e-har do jahaan Main hoon aasi Sarwara aur tum shafi-e-aasiyaan
Ay ke teri zaat-e-aali sirr-e-har maujood hai Ay woh Sarwar jis pe sadqe bood-e-har nabood hai
Ay woh jis ka dar dar-e-faiz-o-sakha-o-jood hai Ay woh jis ka baab dushman par bhi na-masdood hai
Ay woh jis ka Rabb hai shaahid aur woh mash-hood hai Ay woh jis ka Rabb hai haamid aur woh Mahmood hai
Ay woh jis ka Rabb hai qaasid aur woh maqsood hai Ay ke jis ka jood aisa hai ke laa-maqsood hai
Qibla-e-konain hain Sarkar Imam-ul-Qiblatain Aap hain fath-e-Khuda se faateh-e-Badr-o-Hunain
Door dar se jo hua to phir kahan yeh amn-o-chain Hum pe bhi chashm-e-karam ho Sayyidi bahar-e-Husain
Ay shahanshah-e-do-aalam shaafi-e-roz-e-qiyaam Zeelat-e-gulzar-e-Taiba marja-e-har khaas-o-aam
Haazir-e-dar aaj hain Sarkar ke Razvi ghulaam Az-pay-e-Ahmed Raza maqbool ho un ka salaam
As-salatu was-salamu As-salatu was-salamu Ay nabiyon ke Nabi aur ay rasoolon ke Imam