Ya Nabi salaamun 'alayka Ya Rasool salaamun 'alayk
Ya Habeeb salaamun 'alayk Salawaatullahi 'alayk
Aaminah Bibi ka jaaya Baarhween tareekh aaya
Subh-e-Sadiq ne sunaya Salawaatullahi 'alayk
Assalaam ae jaan-e-aalam Assalaam imaan-e-aalam
Shah-e-deen Sultan-e-aalam Salawaatullahi 'alayk
Khatam-e-daur-e-risalat Akhtar-e-burj-e-hidayat
Faateh-e-baab-e-shafa'at Salawaatullahi 'alayk
Assalaam ae Shah-e-Aali Assalaam ummat ke wali
Arz karte hain sawali Salawaatullahi 'alayk
Nooh ke tum naakhuda ho Khalq ke mushkil-kusha ho
Sab ke tum haajat-rawa ho Salawaatullahi 'alayk
Bakhsh do meri khatayen Door hon gham ki ghatayen
Bhej do apni atayen Salawaatullahi 'alayk
Hun phansa afkaar-e-gham mein Ghir gaya ranj-o-alam mein
Der kya hai ab karam mein Salawaatullahi 'alayk
Kufr ko tum ne mitaya Khaak mein us ko milaya
Deen ka danka bajaya Salawaatullahi 'alayk
Ab to Taibah mein bulalo Hasraten dil ki nikalo
Apne bad ko bhi nibhalo Salawaatullahi 'alayk
Dil mein rang apna jamado Parda-e-ghaflat uthado
Bakht-e-khwabida jagado Salawaatullahi 'alayk
Jaan nikle is tarah par Aap ka dar ho mera sar
Saamne ho qabr-e-Anwar Salawaatullahi 'alayk
Jaankani ke waqt aana Kalima-e-Tayyab sikhana
Chehra-e-Anwar dikhana Salawaatullahi 'alayk
Ae Shafee-e-roz-e-mahshar Hain siyah isyaan se daftar
Ghaus ka sadqa karam kar Salawaatullahi 'alayk
Kuch na ki hum ne kamai Umr sab yunhin ganwai
Ae Arab wale duhai Salawaatullahi 'alayk
Hashr mein tum bakhshwana Apne daaman mein chupana
Har museebat se bachana Salawaatullahi 'alayk
Ae Shahanshah-e-risalat Hain yahan jo Ahle-Sunnat
Ta-abad sab par ho rahmat Salawaatullahi 'alayk
Deen ka ho bol bala Sunniyon ka rukh ujala
Dushmanon ka munh ho kala Salawaatullahi 'alayk
Baani-e-mehfil ki Aaqa Iltija maqbool farma
Poori ho har ik tamanna Salawaatullahi 'alayk
Is Jameel Qadri par Ho karam Mehboob-e-Daawar
Chashm-o-dil kardo munawwar Salawaatullahi 'alayk





