Tu ne apna jalwa dikhane ko jo naqab munh se utha diya Hui mehv-e-hairat be-khudi mujhe aaina sa bana diya
Woh jo naqsh-e-pa ki tarah hi thi namood apne wajood ki So kashish se daman-e-naaz ne use bhi zameen se mita diya
Kya hi chain khwab-e-adam mein tha na tha zulf-e-yaar ka kuch khayal So jaga ke shor-e-zuhoor ne mujhe kis bala mein phansa diya
Zara chhip nigah-e-raqeeb se padi us gali mein thi meri khaak Tu ne ek jhonke mein ae saba use le wahan se uda diya
Rag-o-pai mein aag bharak uthi phoonke hai para sabhi tan-badan Mujhe saqiya mai-e-aatashin ka yeh jaam kaisa pila diya
Yeh nihaal-e-shola-e-husn ka tera barh ke sar-ba-falak hua Meri kaah-e-hasti se mushtail hawa se yeh na nashv-o-numa diya
Jab hi ja ke maktab-e-ishq mein sabaq-e-maqam-e-fana liya Jo likha parha tha Niaz ne so woh saaf dil se bhula diya