Ae dil kahin na jaiyo zinhar dekhna Apne hi beech yaar ka deedar dekhna
Khooban is jahan ka tamasha jo tu kare Aaina-dar talat-e-dildar dekhna
Nairangiyon se yaar ki hairan na hojiyo Har rang mein usi ko namoodar dekhna
Ae dil qamar-e-ishq mein tuk kheliyo sambhal Baazi na dijiyo haar mere yaar dekhna
Gar naqd-e-jaan talab kare woh shokh-e-dilruba Inkaar vaan na kijiyo zinhar dekhna
Hargiz dawa na kijiyo is gham ki ae Niyaz Sab rahaton se gham ko mazedaar dekhna