Yun toh har daur mehakti hui neendein laya Tera paigham magar khwab na ban paya
Tu jab aya toh mitti rooh-o-badan ki tafreeq Tu ne insaan ke khayalon mein lahu doraya
Jin ko dhundla gaye sadiyon ki ghareebi ke ghubar Un khad-o-khaal ko sone ki tarah chamkaya
Simat aya tere ik harf-e-sadaqat mein woh raaz Falsafon ne jise ta had-e-gumaan uljhaya
Rahat-e-jaan tere khursheed-e-mohabbat ka tulu Dhoop ke roop mein hai abr-e-karam ka saya
Qasr-e-marmar se shehanshah ne az rah-e-ghuroor Teri kuliya ko jo dekha toh bohat sharmaya
Kitna ehsaan hai insaan par tera, ke usay Apni guftar ko, kirdar banana aya





