Is qadar kaun mohabbat ka sila deta hai Us ka banda hoon jo banday ko Khuda deta hai
Jab utarti hai meri rooh mein azmat us ki Mujh ko masjood-e-mala'ik ka bana deta hai
Rehnumai ke ye tevar hain ke mujh mein bas kar Woh mujhe mere hi jauhar ka pata deta hai
Us ke irshad se mujh par mare asrar khulay Ke woh har lafz mein aaina dikha deta hai
Zulmat-e-dahr mein jab bhi main pukaaroon us ko Woh mere qalb ki qandeel jala deta hai
Us ki rehmat ki bhala aakhri had kya hogi Dost ki tarah jo dushman ko dua deta hai
Wohi nimtay ga mari fikr ke sanaton se But kadon ko jo azanon se basa deta hai
Wohi sarsabz karay ga mare veeranon ko Aandhiyon ko bhi jo kirdar-e-saba deta hai
Qadam uthtay hain maray, janib-e-Yasrib jab bhi Ik farishta mujhe Shaheer ki hawa deta hai
Fan ki takhleeq ke lamhon mein tasawwur us ka Roshni mere khayalon mein mila deta hai
Qasr-o-aiwan se guzar jata hai chup chaap Nadeem Dar-e-Muhammad ﷺ ka jab aaye to sada deta hai





